❗Only-Quran-Hadith-Quiz 855❗
Mafhoom E Hadith
Sawal : Jo shakhs hasiyat hone ke baad bhi ajizi ikhtiyaar karte huwe ache kapde nahi pahanta akhirat ke din Allah Subhanahu aise shakhs ke saat kaisa mamla farmayenge ?
A. Us ko logon mein mehboob bana denge
B. Arsh ke saye mein jagah ata karenge
C. Apni rahmat nazil farmayenge
D. Salamati ke saat naam e amal haat mein denge
E. Gunahon par parda dal diya jayega
F. Jannat ka rasta asaan farma denge
G. Noor ka mimber ata karenge
H. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
I. Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi jawab : H. Tamaam makhlooq ke samne layenge aur usey ikhtiyaar denge ke wo imaan ka jo libaas chahe pahne ✅
Reference : 📚
----------
Muaz Bin Anas Jahni Radi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wasallam ne ; Jis shakhs ne istetaat (haisiyat) rakhne ke bawajood (Tawazah ikhtiyaar karte huwe) behtareen libaas na pahna, Qayamat ke din Allah Taala usey tamaam makhlooq ke samne layenge aur usey ikhtiyaar denge ke wo imaan ka jo libaas chahe pahne.
----------
معاذ بن انس جہنی رضی اﷲ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اﷲ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے استطاعت رکھنے کے باوجود (تواضع اختیار کرتے ہوئے) بہترین لباس نہ پہنا، قیامت کے دن اﷲ تعالیٰ اسے تمام مخلوق کے سامنے لائیں گے اور اسے اختیار دیں گے کہ وہ ایمان کا جو لباس چاہے پہنے۔
--------
Al-Silsila-tus-Sahiha#3062
No comments:
Post a Comment