❗Only-Quran-Hadith-Quiz 887❗
❗Jawab ek se zayda hain
Sawal: Jab Qayamat ke din Suraj bandon ke qareeb kar diya jayega yaha tak ki wo srif ek ya do mil ke faasley par reh jayega tab kya hoga?
A: kisi ko apni ediyon tak paseena aa raha hoga
B: kisi ko apni kamar tak paseena aa raha hoga
C: apne amal ke baqadar paseene mein ghark honge
D: kisi ko ghutno tak paseena aa raha hoga
E: koi paseene ke dariya mein tair raha hoga
F: jiske muh tak paseena hoga ussay paseene ki lagaam pehnayi jayegi
G: kisi ko muh tak paseena aa raha hoga
H: kisi ke hateliyon tak paseena aa raha hoga
I: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - ABCDFG✅
Hadith: Qayamat ke din jab Suraj bandon ke qareeb kar diya jayega to logon ka ye alaam hoga
Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab Qayamat ka din hoga to Suraj ko bundon ke qareeb kar diya jaye ga hatta ke wo Ek ya Do mil ke faasle par reh jayega to Suraj inhen jalaaye ga, is waqt wo apne aamaal ke baqadar paseene mein ghark honge, kisi ko ediyon tak, paseena aa raha hoga, kisi ko ghutnon tak, kisi ko kamar tak aur kisi ko mun tak mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dekha ke Aap ne apne mun ki taraf ishara kiya, yani usay paseene ki lagaam pehnai jayegi.
---
مقداد رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب قیامت کا دن ہوگا تو سورج کو بندوں کے قریب کر دیا جائے گا حتی کہ وہ ایک یا دو میل کے فاصلے پر رہ جائے گا۔ تو سورج انہیں جلائے گا،اس وقت وہ اپنے اعمال کے بقدر پسینے میں غرق ہوں گے، کسی کو ایڑیوں تک،پسینہ آرہا ہوگا، کسی کو گھٹنوں تک،کسی کو کمر تک اور کسی کو منہ تک۔ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو دیکھا کہ آپ نے اپنے منہ کی طرف اشارہ کیا، یعنی اسے پسینے کی لگام پہنائی جائے گی۔
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: When the Day of Resurrection comes, the sun will be brought closer to the slaves, even it is one or two miles away. So the sun will burn them, at that time they will be drenched in sweat as much as their deeds, some will be sweating up to heels, some up to knees, some up to waist and some up to mouth. I saw the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam pointing to his face, that is, he would be covered with sweat.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2520
No comments:
Post a Comment