Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke samne kuch khajure rakhi gayi to sahaba ne khajure khayi aur kuch gutliya aur bekaar khajure chodh di

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 867❗

❗Jawab ek se zayda hain

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke samne kuch khajure rakhi gayi to sahaba ne khajure khayi aur kuch gutliya aur bekaar khajure chodh di

Sawal: Is waqiye par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke tum jaante ho ye kya alamat hain

A: Ummat ke sache log ek ek karke khatam hojayege
B: Ummat ke badtareen log bach jayege
C: Tum mein se behtareen aadmi ek ek kar ke chale jayege
D: bache huyee khajur ki tarah bekaar log bach jayege
E: bache huyee khajur aur bekaar khajur se muraad islam mein log murtaad hojayege
F: iss ummat par aise he bekaar log hukumat karenge
G: tumhare aulaad mein se ek Khalifa banega jo badtareen logon ka khatma karnege
H: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab CD✅

Hadith: Ummat ke Behtareen log ek ek karke chale jayege aur bache huyee khajur aur gutliyon ki tarah bekaar log bach jayege

Reference📚:
---
Rafi bin Thabit Ansari RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke samne khushk ya tar khajure paish ki gayi, Sahaba RadiAllahu Anhuma ne khaye aur siwaye gutliyon aur bekaar khajuron ke kuch nahi bachaya. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Tum jante ho ye kya hain? Tum mein se behtareen Aadmi Ek Ek kar ke chale jayenge hatta ke tum mein se is gutlyon aur bekaar khajur ki terhan bachchen ge
---
رویفع بن ثابت انصاریرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم کے سامنے خشک یا تر کھجوریں پیش کی گئیں۔ صحابہ نے کھائیں اور سوائے گٹھلیوں اور بے کار کھجوروں کے کچھ نہیں بچایا، رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم جانتے ہو یہ کیا ہے؟ تم میں سے بہترین آدمی ایک ایک کر کے چلے جائیں گے حتی کہ تم میں سے اس گٹھلی اور بے کار کھجور کی طرح بچیں گے
---
Rafi bin Thabit Ansari RadiAllahu Anhu said that In front of Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam some dried or wet dates were presented. The companions ate and left nothing but seeds and useless dates. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Do you know what this is? The best of you will go away one by one and from among you some of them will survive who will be like this useless dates and seeds.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#2594


No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...