Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 2 February 2020

yh kaun kahenge ke mein un mein majood tha toh unki nigrani karta raha lekin jab tune mujhe utha liya to tu he unka nigehbaan hain aur to har cheez par nigehbaan hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: yh kaun kahenge ke mein un mein majood tha toh unki nigrani karta raha lekin jab tune mujhe utha liya to tu he unka nigehbaan hain aur to har cheez par nigehbaan hain

A: Adam Alaihi Salam
B: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
C: Musa Alaihi Salam
D: Ibrahim Alaihi Salam
E: Isa Alaihi Salam
F: Yusuf Alaihi Salam
G: Nuh Alaihi Salam

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “(Qayamat ke din)” tum log nangay paon, nangay badan aur baghair khatna ke uthaye jaoge phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki ”jis terhan hum ne inhen pehli martaba paida kiya tha isi terhan hum dobarah lautayege, yeh hamari janib se wada hai aur beshak hum usay karne walay hain. “Phir sab se pehlay Ibrahim Alahi Salam ko kaprah pehnaya jayega phir mere ashaab ko dayen (Jannat ki) taraf le jaya jayega lekin kuch ko baen (Jahannum ki) taraf le jaya jayega mein kahoon ga ke yeh to mere ashaab hain lekin mujhe bataya jaye ga ke jab Aap un se judda huwe to isi waqt unhon ne irtedaad ikhtiyar kar liya tha mein yani (Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam) is waqt wahi kahoon ga jo Abdul Saleh Isa Ibn Maryam Alahi Salam ne kaha tha ke jab tak mein un mein mojood tha un ki nigrani karta raha lekin jab to ne mujhe utha liya to tu he un ka nigehbaan hai aur tu har cheez par nigehbaan hai. Aayat «‏‏‏‏العزيز الحكيم‏» tak. Mohammad bin Yusuf ne bayan kiya ke Abu Abdullah se rivayet hai aur un se Quaggas ne bayan kiya ke yeh woh murtadeen hain jinhon ne Abu Bakr RadiAllahu Anhu ke ehad khilafat mein kufar ikhtiyar kiya tha aur jin se Abu Bakr RadiAllahu Anhu ne jung ki thi.
-----------
Narrted Ibn `Abbas: Allah's Messenger (ﷺ) said, "You will be resurrected (and assembled) bare-footed, naked and uncircumcised." The Prophet (ﷺ) then recited the Divine Verse:-- "As We began the first creation, We shall repeat it: A promise We have undertaken. Truly we shall do it." (21.104) He added, "The first to be dressed will be Abraham. Then some of my companions will take to the right and to the left. I will say: 'My companions! 'It will be said, 'They had been renegades since you left them.' I will then say what the Pious Slave Jesus, the son of Mary said: 'And I was a witness over them while I dwelt amongst them; when You did take me up, You were the Watcher over them, and You are a Witness to all things. If You punish them, they are Your slaves, and if you forgive them, You, only You are the All-Mighty the All-Wise.' " (5.117-118) Narrated Quaggas, "Those were the apostates who renegade from Islam during the Caliphate of Abu Bakr who fought them".
------------
Sahih Bukhari Hadees # 3447 - Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...