Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 2 February 2020

Ramadan ki wo konsi Raat hai jis mein ek pukarne (farishta) wala pukar kar kehta hai, "Aye khair ke talabgar aage badh (yani Neki kar) aur aye burayi ke talabgar ruk jaa (yani gunah se ruk jaa)

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Ramadan ki wo konsi Raat hai jis mein ek pukarne (farishta) wala pukar kar kehta hai, "Aye khair ke talabgar aage badh (yani Neki kar) aur aye  burayi ke talabgar ruk jaa (yani gunah se ruk jaa)


A: Ramadan  ka aakhri ashra 
B: Iftar ke waqt
C: Ramadan ka darmiyani ashra 
D: Ramadan ka pehla ashra 
E: Ramadan ki pehli shab
F: Laila tul Qadr wali raat 
G: Ramadan ki har juma ki raat 
H: Sehri ke waqt 

I: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - E✅

📚Reference:

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Ramdan ki pahli shab aate hi shayateen aur sarkash jinnat ko qaid kar liya jata hai aur dozakh ke darwaze band kar diye jate hain ek darwaza bhi khula nahi rahta, aur Jannat ke darwaze khol diye jate hain ek darwaza bhi band nahi rahta aur pukarne wala pukarta hai , eh khair ke talabgar  aage badh aur eh burayee ke talabgar thahar ja aur Allah subhanahu bahut sare logo ko dozakh se aazad farma dete hain aur aisa har raat hota hai

Sunan Ibn Maja, 1642, Jild 1-Hasan
----------------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“When the first night of Ramadan comes, the Satans and mischievous jinns are chained up, and the gates of the Fire are closed, and none of its gates are opened. The gates of Paradise are opened and none of its gates are closed. And a caller cried out: ‘O seeker of good, proceed, O seeker of evil, stop.’ And Allah has necks (people) whom He frees (from the Fire), and that happens every day.”
---------
Sunan Ibn Maja, Book 7, 1642-Hasan


No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...