Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 2 February 2020

kaun se amal karne per Rasool-Allah ﷺ ne ek sahabi ko kaha ke tum ne mazboot kada pakad liya hai aur dusre sahabi se kaha tumne Quwat ko ikhtiyar kiya hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Dono sawal mai jawab ek se zayda hai!

Sawal: kaun se amal karne per Rasool-Allah ﷺ ne ek sahabi ko kaha ke tum ne mazboot kada pakad liya hai aur dusre sahabi se kaha tumne Quwat ko ikhtiyar kiya hai?

A: Nawafil zayda padne ki wajah se
B: Witr ki namaz ko raat ke ibtidayi hissay mein padne ki wajah se
C: Tahajjud ki pabandi ki wajah se
D: Isha ki namaz jamat se padne ki wajah se
F: Witr ki namaz akhari hisse mai padne ki wajah se
G: Witr ki namaz ko pichale hisse mai padne ki wajah se
H: har waqt wazu mai rehne ki wajah se 

Sawal: Wo Sahabi RadiAllahu Anhu kaun thy?

A:Hazrat Khalid bin Waleed RadiAllahu Anhu
B: Bilal RadiAllahu Anhu 
C:Hazrat Umar RadiAllahu Anhu
D:Hazrat Ali RadiAllahu Anhu
E:Hazrat Uqba bin Amir Radi Allahu Anhu
F:Hazrat Talha Radi Allahu Anhu
G:Hazrat Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu
H: Hazrat Abu Bakr Radi Allahu Anhu

I: Sahi Jawab ka Intezaar?


******************

Sahi Jawab BG/CH✅

Jabir Bin Abdulla RadiAllahu Anhu se marwi hai unhon ne kaha ke Rasool-Allah ﷺ ne Abu Bakr RadiAllahu Anhu se poocha tum kis waqt witr ki namaz ada karte ho? Abu Bakr RadiAllahu Anhu ne kaha Isha ki namaz ke baad raat ke ibtidayi hissay mein Aap ﷺ ne farmaya Umar tum kab padhte ho? Umar RadiAllahu Anhu ne kaha raat ke pichalle phir Nabi Akram ﷺ ne farmaya: Abu Bakr tum ne mazboot kada pakad liya hai, aur Ae Umar! Tum ne quwat ko ikhtiyar kiya hai
-------------------
 جابر بن عبداللہ سے مروی ہے انہوں نے كہا كہ رسول اللہ ﷺنے ابو بكر سےپوچھا: تم كس وقت وتر كی نماز ادا كرتے ہو؟ ابوبكر نے كہا: عشاء كی نماز كے بعد رات كے ابتدائی حصے میں۔ آپ نے فرمایا: عمر تم كب پڑھتے ہو؟ عمر نے كہا: رات كے پچھلے پہر نبی ﷺنے فرمایا: ابو بكر! تم نے مضبوط كڑا پكڑ لیا ہے، اور اے عمر! تم نے قوت كو اختیار كیا ہے
--------------'
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 555

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...