Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 2 February 2020

kaunsa amal karne per kaha gaya hain ke aisa karna musalman ki khoon ki hurmat ki terhan hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunsa amal karne per kaha gaya hain ke aisa karna musalman ki khoon ki hurmat ki terhan hain?

A: padosi ki biwi ke saath zina karna
B: Nahaq kisi musalman ka maal lena
C: musalman bhai ko gaali dena
D: musalman se ladna
E: padosi ko takleef dena
F: wada khilafi karna 
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************


Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
----
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhone kaha ke Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya : Apne Musalman bhai ko gaali dena fasiq hain, aur is se ladna kufar hain aur is ke Maal ki hurmat (yani nahaq maal lena) is ke khoon ki hurmat ki terhan hain.
----------
عبداللہ بن مسعود‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اپنے مسلمان بھائی کو گالی دینا فسق ہے ، اور اس سے لڑنا کفر ہے ، اور اس کے مال کی حرمت اس کے خون کی حرمت کی طرح ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 119

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...