Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 2 February 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne ek sahabi se kaha ke qayamat ke din tumhari garden par kisi aisi cheez ka nishaan na pao joh bulbula raha ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne ek sahabi se kaha ke qayamat ke din tumhari garden par kisi aisi cheez ka nishaan na pao joh bulbula raha ho?

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kaunse amal ke liye yh irshad farma rahe thy ya wo nishaan kaunse amal karne par nazar ayega?

A: Maal e ganimat mein khayanat karna 
B: Chori karna
C: Zakat ke maal mein khayanat karna
D: Yateem ke maal mein khayanat karna
E: Jaidaad shariyat ke hesaab se takseem nahi karna 
F: Padosi ki biwi ke saath Zina karna 
G: Inmein se koi nahi (Apna jawab likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar?


************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
--------------
Abu Masood Ansari RadiAllahu Anhu kehte hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne mujhe Zakat wusool karne ke liye bhejnay ka iradah kiya, phir farmaya Abu Masood jao mein Qayamat ke din thujhe is haal mein nah pau ke tumhari gardan par Zakat ka oont ho jo bulbula raha ho, jisay tum ney khayanat se haasil ki ho. Abu Masood RadiAllahu Anhu ne kaha tab to mein nahi jaooga, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mein tumhe majaboor nahi karooga.
------------
ابو مسعود انصاری رضی اللہ عنہ  كہتے ہیں كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے زكاۃ وصول کرنے کے لئے بھیجنے کا ارادہ کیا، پھر فرمایا: ابو مسعود جاؤ، میں قیامت كے دن تجھے اس حال میں نہ  پاؤں كہ تمہاری گردن پر زكاۃ كا اونٹ ہو جو بلبلا رہا ہو، جسے تم نے خیانت سے حاصل كیا ہو۔ ابو مسعود  رضی اللہ عنہ نے كہا: تب تو میں نہیں جاؤں گا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہیں مجبور نہیں كروں گا
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1741

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...