Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 2 February 2020

Jab kisi ko namaz mein shak hojaye ke usne kitn namaz pardhi hai toh usse kya karna chahiye (tarteeb se jawab likhe)

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Jab kisi ko namaz mein shak hojaye ke usne kitn namaz pardhi hai toh usse kya karna chahiye (tarteeb se jawab likhe)

A: Namaz khatam hone ke baad ek sajda karle
B: Yaqeen par buniyad rakhe
C: Mazeed rakaat ada kare
D: Namaz ka mukammal hone ka yaqeen rakhe
E: ussi namaz ko fir se awal rakat se adda kare
F: Fir se dobara namaz padhe
G: Salam phairne se pehle 2 sajda sahu kare 
H: jab yaad aaye tab ek rakat sajda karle

I: Sahi Jawab ka intezaar

Sawal: Kaunsa Amal Shaitan ko khaak aloof kar deta hai?
(Apna Jawab khud likhe)

***********************

Sahi Jawab – BCDG/ Sahu ke do sajde✅

Reference📚:
------------
Syedna Abu Saeed Khundri RadiAllahu Anhu se yh riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum mein se kisi ko namaz mein shak ho jaye aur woh yeh nah jaan sakay ke is ne kitni namaz parh li hai, to woh yaqeen par bunyaad rakhay (aur mazeed rakat ada kare) hatta ke usay namaz ke mukammal honay ka yaqeen hojaye, phir wo salam se pehlay do sajday kare agar is ki (parhi huwi zayed namaz) taaq rakate hongi to woh (sahu ke do sajdon) ki bana par juft ban jaye gi aur agar is ki namaz juft (yani poori hai) hogi to yeh sajday shaitan ko khaak alood kar denge.
--------------
سیدنا ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ  سے یہ بھی روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جب تم میں سے کسی کو نماز میں شک ہو جائے اور وہ یہ نہ جان سکے کہ اس نے کتنی نماز پڑھ لی ہے، تو وہ یقین پر بنیاد رکھے (اور مزید رکعت ادا کرے) حتی کہ اسے نماز کے مکمل ہونے کا یقین ہو جائے، پھر وہ سلام سے پہلے دو سجدے کرے، اگر اس کی (پڑھی ہوئی زائد نماز) طاق رکعتیں ہوں گی تو وہ (سہو کے دو سجدوں) کی بنا پر جفت بن جائے گی اور اگر اس کی نماز جفت (یعنی پوری ہی) ہو گی تو یہ سجدے شیطان کو خاک آلود کریں دیں گے۔ 
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 1981

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...