Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 8 April 2021

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab kisi ke liye khas taur par dua farmate to kya alfaaz istemaal karte

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab kisi ke liye khas taur par dua farmate to kya alfaaz istemaal karte

A: Allah tum par neik logo ki rahmat farmaye
B: Allah tumhare naik amal mein izafa farmaye
C: Allah tumko neik bando mein shamil farmaye
D: Allah tumhe sehat aur afiyat aata farmaye
E: Allah ki khass rehmat aur barkat tum par nazil ho
F: Allah tumhari umar daraaz farmaye
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - A✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam jab kisi ke liye sanjeedgi se dua farmate to ye kehte...

Reference📚:
----
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam jab kisi ke liye intehai sanjeedgi se dua karte to farmate Allah Subhanahu tum par naik logon ki rahmat farmaiye, jo raat ko qiyam karte hain aur din ko roza rakhte hain, na gunahgaar hain na fasik wa fajir hain.
----
انس‌رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌جب کسی کے لئے انتہائی سنجیدگی سے دعا کرتے تو فرماتے :اللہ تعالیٰ تم پر نیک لوگوں کی رحمت فرمائے ،جو رات کو قیام کرتے ہیں اور دن کو روزہ رکھتے ہیں ،نہ گنہگارہیں نہ فاسق وفاجر ہیں
----
It is narrated on authority of Anas RadiAllahu Anhu that when the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam use to make supplication (Dua) with sincerity for someone, he would say: May Allah have mercy on you of the righteous who stay up at night and fast during the day. They are neither sinners nor wicked.
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2878-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...