❗Only-Quran-Hadith-Quiz 738❗
❗Do sawal hain
Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek sahabi se farmaya ke falan shakhs ki tarah mat hojana kuynke wo pehle ye amal kiya karta tha par abb nahi
Sawal1️⃣: Wo shakhs kaunsa amal kiya karta tha jisse wo abb nahi kiya karta tha
A: Jihad mein hissa lena
B: Miswak karna
C: Fajar ke baad Quran ki tilawat karna
D: Tahhajud ki namaz padhna
E: Tahyatul wazu ki namaz padhna
F: Chast ki 4 rakat namaz padna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
Sawal2️⃣: Wo Sahabi kaun they jinhe Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ye farmaya tha ke falah shakhs ki tarah mat hojana
A: Abdullah bin Umro RadiAllahu Anhu
B: Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu
C: Anas RadiAllahu Anhu
D: Umar RadiAllahu Anhu
E: Zaid bin Haritha RadiAllahu Anhu
F: Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu
G: inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - DA✅
Hadith: Jo Shakhs pabandi se Tahhajud ki namaz padha karta tha aur abb chodh diya usse Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne napasand kiya
Reference📚:
-----
Abdullah bin Umro RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Eh Abdullah! falan ki tarha mat ho jana, pehle wo Qayam ul Lail karta tha (Tahhajud padhta tha) phir iss ne chordh diya
----
عبداللہ بن عمرو ؓ کہتے ہیں کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا : ” اے عبداللہ ! فلاں کی طرح مت ہو جانا ، پہلے وہ قیام اللیل کرتا تھا (تہجد پڑھتا تھا) ، پھر اس نے چھوڑ دیا “
----
Abdullah bin' Umro RadiAllahu Anhu said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, said to me: 'O Abdullah do not be like so-and-so; he used to pray Qiyam Al-Lail (Tahhajud) and then he stopped.'
----
Sunnan Nasai Hadees #1765-Sahih
No comments:
Post a Comment