Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday, 25 July 2020

La ilaha ilAllah ki fazilat




Bismillahirrahmannirahim

Hadith: La ilaha ilAllah ki fazilat
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko yh farmate huwe suna mein Ek aisa kalma jaanta hu ke jo aadmi dil ki sachaai ke saath is ko kahega, woh aag ke haq mein haraam ho jayega. yeh sun kar Sayedna Umar RadiAllahu Anhu ne kaha mein batlata hu ke woh kalma kaunsa hai, woh toh woh kalma Ikhlaas hai ke Allah taala ne jis ke zariye hazrat Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam aur Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba ko izzat bakhshi, woh kalma taqwa hai jo Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne apne chacha Abu Taalib ki maut ke waqt is par paish kiya tha aur woh hai Laa Illaha Illallaha ki shahadat dena
--------
سیدنا عثمان بن عفانؓ سے یہ بھی مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کو یہ فرماتے ہوئے سنا:  میں ایک ایسا کلمہ جانتا ہوں کہ جو آدمی دل کی سچائی کے ساتھ اس کو کہے گا، وہ آگ کے حق میں حرام ہو جائے گا۔  یہ سن کر سیدناعمرؓ نے کہا: میں بتلاتا ہوں کہ وہ کلمہ کون سا ہے، وہ تو وہ کلمہ اخلاص ہے کہ اللہ تعالیٰ نے جس کے ذریعے حضرت محمد  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ اور آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کے صحابہ کو عزت بخشی، وہ کلمۂ تقوی ہے جو اللہ کے نبی  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے اپنے چچا ابو طالب کی موت کے وقت اس پر پیش کیا تھا اور وہ ہے  لَا إِلٰہَ إلَّا اللّٰہُ  کی شہادت دینا۔ 
---------
Musnad Ahmed#38-Sahih
------
Rasool Allah sallallahu  Alaihi wasallam ne farmaya : Baaqiyat salihaat ka bahut zyadah zikr kiya karo.kisi ne kaha  Eh Allah ke Rasool ! Wo kya hai ? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Al-Millat (Deen)
Kisi ne kaha Ya RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam wo kya hai ? Aapne farmaya : Al-Millat (Deen)
Kisi ne kaha Ya RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam  wo kya hai? Aapne farmaya: Al-Millat (Deen)
Kisi na jaha Ya RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam  wo kya hai ? Aapne farmaya: Takbir (Allahu Akbar), Tehlil (La ilaha illAllah), Tasbeeh (SubhanAllah), Tehmeed (Alhamdulillah) aur La Hawla wa La Quwwata illa Billah
---
Musnad Ahmed -5448-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...