Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday, 25 July 2020

Kya Aurat ko har haiz ke bad Zair e naaf ke Baal saaf Karna zaruri Hain

Bismillahirahmanirrahim

Kya Aurat ko har haiz ke bad Zair e naaf ke Baal saaf Karna zaruri Hain?
-----------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Panch (5) cheezein fitrat par Hain 
1. khatna Karna 
2. Zer e naaf baal saaf Karna 
3. Munchein ( mustache) katna
4. Bagal ke Baal saaf Karna 
5. Nakhun tarashna ( katna)
Sahih Muslim hadith #597
--------
Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne hamare liye munchein (mustache) katne aur nakhun tarashne , baglon ke Baal saaf Karne aur Zer e naaf ke Baal saaf Karne ke liye Waqt muqarrar Kar Diya Hain ke ham unko Chalis (40) din se zyada na chohre 
Sahih Muslim hadith#599

Zer e naaf baal  cream laga Kar saaf Kiya jaa Sakta Hain aur dusre tareeqe se bhi Jo fitrati sunnaton mein Shamil hain aur Deen e Islam ne iss ki ragbat dilate huye iss par ubhara hain lakin ye zaruri Nahi ke har haiz ke bad Kiya Jaye 

Note: Ye hadith Mard aur aurat dono ke liye Hain lihaza ye zaruri Nahi ke aurat har haiz ke bad Zer e naaf ke Baal saaf Karen
----------
 رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے فرمايا:" پانچ چيزيں فطرت ميں داخل ہيں: زيرناف بال مونڈنا، ختنہ كرنا، مونچھيں كاٹنا، بغلوں كے بال اكھيڑنا، اور ناخن تراشنا "
صحیح مسلم ۵۹۷

اور انس رضى اللہ تعالى عنہ بيان كرتے ہيں كہ:" رسول كريم صلى اللہ عليہ وسلم نے ہمارے ليے مونچھيں كاٹنے، اور ناخن تراشنے، اور بغلوں كے بال اكھيڑنے، اور زيرناف بال مونڈنے ميں وقت مقرر كيا كہ ہم انہيں چاليس راتوں سے زيادہ نہ چھوڑيں "
صحیح مسلم ۵۹۹

زيرناف بال اكھيڑنا، يا پاؤڈر اور كريم لگا كر، يا مونڈ كر زائل كرنا فطرتى سنتوں ميں شامل ہوتا ہے، اور دين اسلام نے اس كى رغبت دلاتے ہوئے اس پر ابھارا ہے، ليكن اس كى تحديد نہيں كہ يہ ہر حيض كے بعد كيا جائے.
-------
Abu Huraira reported: Five are the acts quite akin to the Fitra, or five are the acts of Fitra: circumcision, shaving the pubes, cutting the nails, plucking the hair under the armpits and clipping the moustache.
Sahih Muslim hadith# 597

Anas reported: A time limit has been prescribed for us for clipping the moustache, cutting the nails, plucking hair under the armpits, shaving the pubes, that it should not be neglected far more than forty nights. 
Sahih Muslim hadith #599

Removing the pubic hair, whether by plucking, using a depilatory agent, shaving or cutting, is one of the actions dictated by the fitrah and encouraged by Islam, but it is not restricted to or required at the end of every period

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...