Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday, 25 July 2020

Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai goya wo aisa hai jaise dusro ki matta (jaidad) per nazar lagaye huwe hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai goya wo aisa hai jaise dusro ki matta (jaidad) per nazar lagaye huwe hai

A: joh dusre ke maal per hasad kare
B: dhikhawe ke liye sadqa khairat karne wala
C: Jis Ilm se Fahida hasil nahi kiya jaata
D: dhikhawe ke liye masjid jane wale
E: logo mein mehboob bannane ke liye amal karne wale
F: jo apne taqdeer per sabr na kare
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar jawab G hai toh sahi jawab likhiye

******************

Sahi Jawab - G✅

Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki Masjid (Nabwi) mein sirf khair (ilm deen) seekhne ya sikahne ke liye jane wala shaqs Allah Subhanahu ke rasta mein Jihaad karne ka darjah hasil karta hai

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs meri is masjid (yani Masjid Nabwi) mein sirf khair (ilm deen) seekhne ya sikahne ke liye aaye toh woh Allah Subhanahu ta'ala ke rasta mein Jihaad karne wale ke darjah mein hai, aur jo is ke ilawa kisi aur maqsad ke liye aaye to woh is shakhs ke darjah mein hai jis ki nazar dusaron ki Mataa (property) par lagi hoti hai
-----
It was narrated that Abu Hurairah said:
 I heard the Messenger of Allah say: 'Whoever comes to this mosque of mine, and only comes for a good purpose, such as to learn or to teach, his status is like that of one who fights in Jihad in the cause of Allah. Whoever comes for any other purpose, his status is that of a man who is keeping an eye on other people's property.' 
----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جو شخص میری اس مسجد میں صرف خیر  ( علم دین )  سیکھنے یا سکھانے کے لیے آئے تو وہ اللہ تعالیٰ کے راستہ میں جہاد کرنے والے کے درجہ میں ہے، اور جو اس کے علاوہ کسی اور مقصد کے لیے آئے تو وہ اس شخص کے درجہ میں ہے جس کی نظر دوسروں کی متاع پر لگی ہوتی ہے
-----
Sunnan e Ibn e Maja#227-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...