Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 25 July 2020

Allah Subhanahu kis ke bikhare huwe kaam samaitt deta hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu kis ke bikhare huwe kaam samaitt deta hai

A: Jo duniya aur akhirat ki khair mangta hai
B: Jo deen e ilm ko apna maqsad bana leta hai
C: Jo neik kaam mein pehal karta hai
D: Jo Tahhajud ki namaz pabandi se adda karta hai
E: Jis shaqs ka maqsad akhirat ki behtari ho
F: Jo logo ko khair aur bhalayi ki baate shikhaye
G: Inmein se koi nahi 

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*************

Sahi Jawab - E✅

Akhirat ki behtari jis ka maqsad ban jata hai Allah Subhanahu uske bikhare huwe kaam samaitt deta hai

Reference📚:
-----
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jis shakhs ka Maqsad akhirat ki behtari ho Allah taala is ke dil mein Ghana rakh deta hai, is ke bikhare huwe kam samaitt deta hai, aur duniya zaleel ho kar is ke paas aati hai. aur jis shakhs ka maqsad sirf duniya kamana ho Allah taala is ke aankhon ke darmiyan mohtaji rakh deta hai, is ke kam bighad deta hai, aur duniya se usay itni he millti hai jitna is ka muqaddar hai
----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ: جس شخص كا مقصد آخرت كی بہتری ہو اللہ تعالیٰ اس كے دل میں غنا ركھ دیتا ہے، اس كےبكھرے ہوئے كام سمیٹ دیتا ہے ، اور دنیا ذلیل ہو كر اس كے پاس آتی ہے۔ اور جس شخص كا مقصد صرف دنیا كمانا ہو اللہ تعالیٰ اس كی آنكھوں كے درمیان محتاجی ركھ دیتا ہے، اس كے كام بكھیر دیتا ہے ، اور دنیا سے اسے اتنی ہی ملتی ہے جتنا اس كا مقدر ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1407-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...