Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 5 September 2021

Akhirat ke din ek shakhs ko laya jayega wo shakhs kahega ki maine apni daulat Allah ki raah mein kharch ki hai par use aag mein dal diya jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 800❗
 
Sawal : Akhirat ke din ek shakhs ko laya jayega wo shakhs kahega ki maine apni daulat Allah ki raah mein kharch ki hai par use aag mein dal diya jayega

Wo kaunsa gunah tha jiske sabab usey aag mein dala jayega

A: Log usey bakheel na samjhe
B: Log uski tareef kare
C: Log usey yaad rakhe
D: Log usey daulatmand kahe
E: Log uski izzat kare
F: Log usey faragh dil wala kahe
G: In mein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab : F✅

Jisne dikhawe ke liye Allah ke raaste mein maal kharch kiya usey jahannum mein phaink diya jayega

Reference📚:
-------
Sulaiman Bin Yasar se marwi hai ke jab log Abu Hurairah  Radi Allahu Anhu ke paas se muntashir hogaye un se ahal shaam ne kaha : Ya Sheikh hamein koi hadees bayan kijiye  Jo aapne Rasool Allah ‌Sallellahu Allah alaihi wasallam ‌se suni ho. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu  ne kaha : haan mein ne Rasool Allah Sallelahu Alaihi  wasallam se suna farma rahay they : sab se pehla shakhs jis ke khilaaf qayamat ke din faisla kiya jaye ga, woh shakhs hoga jisay ( duniya main ) shaheed samjha jata hoga . Usay laya jaye ga, Allah Taala usay apni naematain gawaega woh un ka aitraaf kare ga. Allah farmaye ga : un ke badlay tum nay kya kiya? woh kahe ga mein shaheed honay tak teray rastay mein qitaal kar ta raha. Allah Taala farmaye ga : Tu jhoot bolta hai, tum nay to is liye qitaal kiya takey tumhe bahadur kaha jaye, aur yeh baat duniya mein kah di gayi . Pir is ke barey mein hukum diya jaye ga to isey muh ke bal ghaseet kar jahannum mein phaink diya jaye ga. Dosra woh shakhs hoga jis nay ilm ( deen ) sikha aur sikhaya hoga, aur quran parha hoga usay laya jaye ga Allah taala usay apni naematain ganwaye ga aur WO iska aitraaf kare ga. Allah Taala farmaye ga : tunay un ke badlay kya amal kiya? woh kahe ga : mein nay ilm sikha aur sikhaya aur teray liye quran parhta raha. Allah Taala farmaye ga. Tu jhoot bolta hai tum nay to ilm is liye sikha takey  tumhe aalim kaha jaye aur quran is liye parha takey tumhe qaari kaha jaye. toh ye baat duniya mein kah di gayi. phir is ke barey mein hukum diya jaye ga to isey ghaseet kar muh ke bal jahannum mein phaink diya jaye ga. Aur teesra woh shakhs hoga jisay Allah taala nay maal daulat ki farawani di hogi usay laya jaye ga, Allah Taala usay apni naematain gawaega woh un ka aitraaf karega. Allah Taala farmaye ga : tunay un ke badlay kya kiya? woh kahe ga : mein nay teray har is rastay mein kharch kiya jis mein tu chahta tha ke kharch kiya jaye. Allah Taala farmaye ga : Tu jhoot bolta hai, tunay to ye kam is liye kiya tha, takey tujhe sakhi (Faragh dil wala) kaha jaye aur yeh baat duniya mein kah di gayi hai. phir is ke baray mein hukm diya jaye ga to isey bhi ghaseet kar jahannum mein phaink diya jaye ga.
------
سلیمان بن یسار سے مروی ہے كہ جب لوگ ابوہریرہ‌رضی اللہ عنہ كے پاس سے منتشر ہوگئے ان سے اہل شام نے كہا: یا شیخ ہمیں كوئی  حدیث بیان كیجئے، جوآپ نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنی ہو۔ ابوہریرہ‌رضی اللہ عنہ نے كہا: ہاں میں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنا فرما رہے تھے: سب سے پہلا شخص جس كے خلاف قیامت كے دن فیصلہ كیا جائے گا، وہ شخص ہوگا جسے(دنیامیں)شہید سمجھا جاتا ہوگا۔ اسے لایا جائے گا، اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا وہ ان كا اعتراف كرے گا۔ اللہ فرمائے گا: ان كے بدلے تم نے كیا كیا؟ وہ كہے گا میں شہید ہونے تك تیرے راستے میں قتال كر تا رہا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے، تم نے تواس لئے قتال كیا تاكہ تمہیں بہادر كہا جائے، اور یہ بات دنیا میں كہہ دی گئی۔ پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے منہ كے بل گھسیٹ كر جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔ دوسرا وہ شخص ہوگا جس نے علم(دین) سیكھا اور سكھایا ہوگا، اور قرآن پڑھا ہوگا اسے لایا جائے گا اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا اور كا اعتراف كرے گا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: تونے ان كے بدلے كیا عمل كیا ؟ وہ كہے گا: میں نے علم سیكھا اور سكھایا اور تیرے لئے قرآن پڑھتا رہا۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے تم نے توعلم اس لئے سكھاا تاكہ تمہیں عالم كہا جائے اور قرآن اس لئے پڑھا تاكہ تمہیں قاری كہا جائے۔ تویہ بات دنیامیں كہہ دی گئی ۔ پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے گھسیٹ كر منہ كے بل جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔ اور تیسرا وہ شخص ہوگا جسے اللہ تعالیٰ نے مال ودولت كی فراوانی دی ہوگی اسے لایا جائے گا، اللہ تعالیٰ اسے اپنی نعمتیں گنوائے گا وہ ان كا اعتراف كرے گا ۔اللہ تعالیٰ فرمائے گا: تونے ان كے بدلے كیا كیا؟ وہ كہے گا: میں نے تیرے ہر اس راستے میں خرچ كیا جس میں توچاہتا تھا كہ خرچ كیا جائے۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا: توجھوٹ بولتا ہے، تونے تویہ كام اس لئے كیا تھا، تاكہ تجھے سخی كہا جائے اور یہ بات دنیا میں كہہ دی گئی ہے۔پھر اس كے بارے میں حكم دیا جائے گا تواسے بھی گھسیٹ كر جہنم میں پھینك دیا جائے گا۔( )
------
Al-Silsila-tus-Sahiha# 990

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...