❗Only-Quran-Hadith-Quiz 811❗
Sawal : Hadith mukammal kare yahood wa nasara mein se jab koi imaan lata hai to usko_____ milega?
A : Jannat mein ghar
B : Jannat ke beech mein mahal
C : Jannat mein motiyon ka ek mahal
D : Allah Subhanahu ki raza
E : Dohra sawab
F : Bahut zyada sawab
G : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki shafaat
H : in mein se koi nahi to apna jawab likhein
I : Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi jawab E ✅
Hadith: Agar Ahle Kitab wale Emaan le aaye to unhe dohra ajar milega aur...
Reference: 📚
------------
Abu Imaamah Habli Radi Allahu Anhu kahte hai ke Main Hajjtul widah mein Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki oontni ke saath khada tha Aap ne achchi baatein kahi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : Ahle Kitaab mein se jo Islaam le aya iske liye do gunah ajar hai aur is ke liye wahi kuch hai jo hamare liye hai aur is par wahi zimmedari hai jo hum par hai aur mushrikeen mein se jo musalmaan huwa iske liye is ka ajar hai is ke liye wahi kuch hai jo hamare liye hai aur is ke zimme wahi hai jo hamare zimme hai
----------
ابو امامہ باہلی رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ میں حجۃ الوداع میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم كی اونٹنی كے ساتھ كھڑا تھا۔ آپ نے اچھی باتیں كہیں ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا: اہل كتاب میں سے جو اسلام لے آیا اس كے لئے دو گنا اجر ہے اور اس كے لئے وہی كچھ ہے جو ہمارے لئے ہے اور اس پر وہی ذمہ داری ہے جو ہم پر ہے۔ اور مشركین میں سے جو مسلمان ہوا اس كے لئے اس كا اجر ہے۔ اس كے لئے وہی كچھ ہے جو ہمارے لئے ہے اور اس كے ذمے وہی كچھ ہے جو ہمارے ذمے ہے۔( )
----------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1102-Sahih
No comments:
Post a Comment