❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Nabuwat mein se kaunsi khush khabri abb bhi baaqi hai
A: Sila Rehami
B: Ilm hasil karna
C: Achcha khawab
D: Achcha Akhlaq
E: Haya
F: Nikah karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
****************
Sahi Jawab - C✅
Nabuwat mein se Achche Khawab abb taq baqi hain
Reference📚:
----
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mere baad Nabuwat mein se koi cheez baqi nahi rahi, ma siwaye khush khabriyon ke. logon ny daryaft kiya Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam woh khush khabriya kya hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ny farmaya unse murad achche Khawab hain, jo aadmi daikhta hai ya is ke liye kisi ko dhikhaaye jaate hain
----
سیدہ عائشہ رضی اللہ عنہا بیان کرتی ہیں کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: میرے بعد نبوت میں سے کوئی چیز باقی نہیں رہی، ما سوائے خوشخبریوں کے۔ لوگوں نے دریافت کیا: اے اللہ کے رسول! وہ خوشخبریاں کیا ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: ان سے مراد اچھے خواب ہیں، جو آدمی دیکھتا ہے یا اس کے لیے کسی کو دکھائے جاتے ہیں۔
-----
Musnad Ahmed#7810-Sahih
No comments:
Post a Comment