Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 26 August 2020

Inmein se kaun kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo Jahannum ke amal hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziyada hain


Sawal: Inmein se kaun kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo Jahannum ke amal hai?


A: Ziyada hasna

B: Jhooth bolna

C: Danton ko tarashna

D: Burai karna 

E: Kufr karna

F: Naqli baal lagawana

G: kisi ko nahaq baddua dena

H: Bhukli karna 

I: Gali dena


J: Sahi jawab ka intezaar


**************


Sahi Jawab - BDE✅


Jahannum mein le jane wale aamal


Reference📚:


Syedna Abdullah bin umro RadiAllahu Anhu se riwayat hain ek aadmi Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam Jannat ke aamaal kaunse hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya sachaai, jab bandah sach boltaa hai to neki karta hai, jab neki karta hai to imaandaar ban jata hai aur jab imaandaar bantaa hai to Jannat mein daakhil ho jata hai logon ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Aag ke aamaal kaun kaunse hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jhoot, jab bandah Jhoot boltaa hain toh buraiee karta hai, jab buraiee karta hai to kufr karta hain aur jab kufr karta hai to Aag mein daakhil ho jata hain.

------


 ۔ سیدنا عبد اللہ بن عمرو رضی اللہ عنہماسے مروی ہے کہ آدمی، نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے پاس آیا اور کہا: اے اللہ کے رسول! جنت کے اعمال کون سے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: سچائی، جب بندہ سچ بولتا ہے تو نیکی کرتا ہے، جب نیکی کرتا ہے تو ایمان دار بن جاتا ہے اور جب ایماندار بنتا ہے تو جنت میں داخل ہو جاتا ہے۔ لوگوں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آگ کے اعمال کون کون سے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جھوٹ، جب بندہ جھوٹ بولتا ہے تو برائی کرتا ہے، جب برائی کرتا ہے تو کفر کرتا ہے اور جب کفر کرتا ہے تو آگ میں داخل ہو جاتا ہے۔ 

----

Musnad Ahmed#9233-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...