Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 30 December 2020

Ek baar Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam apne ek sahaba ko kuch aise amal ke baare mein irshad farma rahe thy jo makhluq ka koi bhi dusra amal uske barabar nahi?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam apne ek sahaba ko kuch aise amal ke baare mein irshad farma rahe thy jo makhluq ka koi bhi dusra amal uske barabar nahi?

Sawal: wo amal kausa hain?

A. SubhanAllahi wabihamdihi 
B. Husn e Akhlaq
C. Salam mein pehal karna
D. La ilaha illAllah kehna
E. Sila rahmi karna
F.  Zyada Khamosh rehna
G. Har Namaz ke baad 10 bar Subhan'Allaah, Allhmadullilah , La Ilaha illAllah kehna
H. Raasto se takleef dene wali cheeze hatana
I: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - BF✅

Makhluq ka koi dusra aamal uske barabar nahi Husn e Akhlaq aur ziyada Khamosh rehna
Reference📚:
-------
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek baar Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam Abu Dharr Radi Allahu Anhu se mile aur farmaya Eh Abu Dharr kya main tumhe do khoobiyan na batau jo karne mein bahut halki hain aur tarazu mein bahut bhari hain unhone kaha kyu nahi Ya Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam jarur bataeeye,  Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya tum apne upar achcha Akhlaq aur ziyada khamosh rahna  lazim karlo , kasam hai us zaat ki jiske hatah mein meri jaan hai makhluq ka koi dusra Amal unke barabar nahi
---------
انسرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ابوذر رضی اللہ عنہ سے ملے تو فرمایا: ابو ذر ! کیا میں تمہیں دو خصلتوں کے بارے مںَ  نہ بتاؤں جو پشت پر ہلکی (یعنی کرنے میں آسان) اور (میزان میں)دوسروں سے بھاری ہونگی؟ ابو ذر نے کہا کیوں نہیں اے اللہ کے رسول۔آپ نے فرمایا: اچھا اخلاق اور طویل خاموشی کو لازم کر لو، اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے، مخلوق نے ان دونوں جیسا کوئی عمل نہیں کیا 
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 202

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...