Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 30 December 2020

wo kaun kaunsa amal karne per shaitan uss shakhs se durr hojata hain ya uss shakhs ke pass apna thikhana nahi bana paata

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: wo kaun kaunsa amal karne per shaitan uss shakhs se durr hojata hain ya uss shakhs ke pass apna thikhana nahi bana paata

A: Bazar mein dakhil hote waqt ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir
B: Ghar se nikalte waqt ye padhne se..
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La hawla wa La quwwata illa billah
C: Subah aur Shaam ke waqt teen baar Surah Al Ikhlas, Surah Al Falaq aur Surah An Nas padne se..
D: Subah aur shaam ki namaz ke baad 10 baar ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir
E: Subah ke waqt 3 baar ye padhne se...
Allahumma bika Asbahna wa bika Amsayna, wa bika nahya wa bika namutu wa ilaik An nushur
F: Masjid mein dakhil hote waqt ye padhne se..
Aawuzu billahil-Azim, Wa bi-Wajhihil-Karim, wa Sultanihil-qadim, minash-Shaytanir-rajim
G. Bistar per late te waqt Ayat al Kursi padne de
H: Ghar mein dhakil hote waqt aur Khana khate waqt Bismillah padhne se
I: Fajar ki namaz ke baad 10 baar ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
J: Sahi jawab ka intezar
*************
Sahi Jawab - BDFGHI✅

Reference📚:

Hadith:1) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe
بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah
to usse (Allah ki taraf se) kaha jata hain ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai. Aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho
Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih
-----
Hadith:2) Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jis shakhs ne subah ki Namaz ke baad dus (10) martaba ye kalma kaha:
لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
-----
Allah ke siwa koi mabud nahi hain, Wo tanha hain uska koi sharik nahi hain, ussi ke liye baadshahi hain aur ussi ke liye tarifein hain Aur wo har cheez par kudrat rakhne wala hain
Allah taala is ke liye dus (10) nekiya likhega, is ki dus (10) buraiyan mitayega aur is ke dus (10) darjaat buland karega aur is ko Aulaad Ismael Alaihi Sallam mein se do (2) gardanein aazad karne ka sawab mileyga. agar is ne shaam ke waqt isi terhan kaha to iske liye isi terhan hai aur subah hone tak ye kalimaat shaitan se rukawat honge.
Al-Silsila-tus-Sahiha#2975-Sahih
----
Hadith:3) Amr bin aas Radi Allahu anhu se riwayat hai ki Rasool-Allah Sallallahau Alaihi wasallam jab masjid mein tashreef le jaate to farmate
أَعُوذُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِوَجْهِهِ الْكَرِيمِ وَسُلْطَانِهِ الْقَدِيمِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ 
Main Allah ki azmat ki aur uski zaat e kareem ki aur uski qadeem badshahat ki shaitan mardud se panah chahta hu
aur jab masjid mein dakhil hone wala aadmee ye kahta hai to shaitan kehta hain ab wo mere shar se din bhar ke liye mehfooz ho gaya
Sunnan Abu Dawood Jild 1, Hadith 463-Sahih
----
Hadith 4): Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki jab bistar par leto to Aayat Al Kursi (Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Qayyum) se aakhir tak puri padh lena . (iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega.
Sahih Bukhari#2311Sahih
----
Hadith 5) Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar mein jata hai aur ghar mein dakhil hote waqt aur khate waqt Allah Subhanahu ka naam leta hai (yani Bismillah kehta hain) to shaitan kehta hain yaha na tumhare rahne ka thikana hain aur na khane ka. Aur jab ghar mein dakhil hote waqt Allah ka naam nahi leta to shaitan kahta hai tumhare rahne ka thikana mil gaya aur jab khate waqt bhi Allah ka naam nahi leta hai to shaitan kahta hai tumhare rahne ka bhi thikana mil gaya aur tumhare khane ka bhi
Sahih Muslim,Hadees#, 5262-Sahih
----
Hadith:6) Abu Dharr Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs fajr ki namaz ke baad do zanu hokar baitha rahe
(jis tarah tashahud mein baithta hai ) aur phir kisi se baat kiye bagair 10 baar ye padhe
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
To uske liye 10 nekiya likh di jayengi , 10 gunah maaf kar diye jayenge, 10 darjat buland kiye jayenge,
Aur us din har burayee se mehfooz rahega, Aur usko shaitan ki pahuch se dur kar diya jayega
aur usko us din shirk ke alawa koi gunah halaq nahi kar sakega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1399-Hasan

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...