Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 24 August 2020

Jab sone aur chandi ke baare mein ayat nazil huwi tab ek sahabi ne poocha ke kaun sa maal hum apne liye rakhe tab yh sawal ek sahabi RadiAllahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se kiya ke kaunsa maal hum rakhe?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Do sawal hai aur pehel sawal mein jawab ek se zayda hai?


Jab sone aur chandi ke baare mein ayat nazil huwi tab ek sahabi ne poocha ke kaun sa maal hum apne liye rakhe tab yh sawal ek sahabi RadiAllahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se kiya ke kaunsa maal hum rakhe?


Sawal 1: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne kya irshad farmaya? 


A: Sadaqah karne wala haath

B: Maal e ganimat ka maal

C: Dua karna 

D: Shukar karne wala dil

E: Zikr karne wali zubaan

F: Neik Aulaad 

G: Iman wali Biwi

H: Achcha Akhlaq


I: Sahi Jawab ka Intezaar?


Sawal 2: Wo Sahabi kaun thy jisne yh sawal Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se kiya tha?


A: Abu bakar Radi Allahu Anhu 

B: Maaz bin Jabal Radi Allahu Anhu 

C: Uthman Radi Allahu Anhu 

D: Ubai bin Kab Radi Allahu Anhu 

E: Saad bin Maaz Radi Allahu Anhu 

F: Umar Radi Allahu Anhu  

G: Inmein se koi nahi 


H: Sahi jawab ka intezar hai?


**********


Sahi Jawab – DEG/F✅


Reference📚: 


Jab sonay aur chandi ke barey mein aayat utri to log kehnay lagey ke ab kon sa maal hum apne liye rakhen? Umar RadiAllahu Anhu ne kaha mein usay tumahray liye maloom kar ke kar aata hon, aur apne oont par sawaar ho kar usay taiz dorhaya aur Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam ke paas puhanche, mein bhi aap ke peechay tha, unhon ne arz kiya Allah ke Rasool Sal-Allahu Alaihi wasallam! hum kaun sa maal rakhen? Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya : tum mein har koi shukar karne wala dil, zikar karne wali zabaan, aur imaan wali biwi rakhay jo is ki akhirat ke kamon mein madad kere

------------

It was narrated that: Thawban said: “When the Verse concerning silver and gold was revealed, they said: 'What kind of wealth should we acquire?' Umar said: 'I will tell you about that.' So he rode on his camel and caught up with the Prophet, and I followed him. He said: 'O Messenger of Allah what kind of wealth should we acquire?' He said: 'Let one of you acquire a thankful heart, a tongue that remembers Allah and a believing wife who will help him with regard to the Hereafter.' 

----------------

 جب سونے اور چاندی کے بارے میں آیت اتری تو لوگ کہنے لگے کہ اب کون سا مال ہم اپنے لیے رکھیں؟ عمر رضی اللہ عنہ نے کہا: میں اسے تمہارے لیے معلوم کر کے کر آتا ہوں، اور اپنے اونٹ پر سوار ہو کر اسے تیز دوڑایا اور نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس پہنچے، میں بھی آپ کے پیچھے تھا، انہوں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم کون سا مال رکھیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تم میں ہر کوئی شکر کرنے والا دل، ذکر کرنے والی زبان، اور ایمان والی بیوی رکھے جو اس کی آخرت کے کاموں میں مدد کرے

-------------

Grade : Hasan (Darussalam)

English reference : Vol. 3, Book 9, Sunana Ibn E Maja - Hadith 1856

Arabic reference : Book 9, Hadith 1929

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...