Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 24 August 2020

Wo kaun se sahabi thy joh namaz ke liye masjid mein baithy rehtay aur miswaak har waqt unke kaan par hoti thi jaise katib ke kaan par qalam rehta hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kaun se sahabi thy joh namaz ke liye masjid mein baithy rehtay aur miswaak har waqt unke kaan par hoti thi jaise katib ke kaan par qalam rehta hai?


A: Abu Huraira Radi Allahu anhu

B: Ammar Radi Allahu anhu

C: Abu Musa Ashri Radi Allahu anhu

D: Zaid Bin Khalid RadiAllahu

E: Ali Radi Allahu anhu

F: Umar Radi Allahu anhu

G: In mai se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**********


Sahi Jawab - D✅


Reference📚:


Zaid Bin Khalid RadiAllahu Anhu kehte hain ke mein naay Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko farmatay suna agar mein apni ummat par dushwari mehsoos nahi karta to har namaz ke waqt inhen miswaak karne ka hukum deta “Abu Salma (Abu Salma Bin Abdul Rahman) kehte hain mein naay Zaid bin Khalid RadiAllahu Anhu ko dekha ke woh namaz ke liye masjid mein baithy rehtay aur miswaak un ke kaan par hoti jaisay katib ke kaan par qalam laga rehta hai, jab namaz ke liye kharray hotay to miswaak kar letay (phir kaan ke oopar rakh letay)

-----------

Narrated Zayd ibn Khalid al-Juhani:

I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: Were it not hard on my ummah, I would order them to use the tooth-stick at the time of every prayer. AbuSalamah said: Zayd ibn Khalid used to attend the prayers in the mosque with his tooth-stick on his ear where a clerk carries a pen, and whenever he got up for prayer he used it.



Grade : Sahih (Al-Albani)  

Reference : Sunan Abi Dawud 47

In-book reference : Book 1, Hadith 47

English translation : Book 1, Hadith 47

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...