Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 24 August 2020

Kaunse shaqs ke liye qayamat ke din ek farishta bheja jayega joh uske gosht ko Jahanam ki agg se bacahyega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunse shaqs ke liye qayamat ke din ek farishta bheja jayega joh uske gosht ko Jahanam ki agg se bacahyega?


A: Yateem ki parwarish karne wale

B: Jamat ke saath 40 din tak namaz padne wale

C: Ilm seekne ke liye apne gahr se nikalne wale

D: Quran ki ek ayat logo tak pahochne wala

E: jisne kabhi sood na liya na diya ho

F: Zakat dene wala

G: Jisne apni doh betiyo ki achi tarah parwarish ki 

H: In mein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - H✅


Momeen ko munafiq ke shar (zulm) se bachane wale ko ALLAH Subhanahu Qayamat ke din ek farishta bhejega joh usse Jahannum ke aag se bacahyega


Reference📚:

------------------

Hazrat Muaaz bin anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya

Jisne kisi Momeen ko munafiq ke shar (zulm) se bachaya to ALLAH subhanahu Qayamat ke din ek farishta bhejega jo uskey gosht ko jahanamma ki aag se bachayega aur jisney kisi musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad us musalman ki burayee ho to Allah subhanahu usey jahannam ke pool par rok dega yahan tak ki wo us tohmat ke gunaah se paak hokar nikal jaye


Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1453-Hasan

------------------------------------------------------------

Narrated Mu'adh ibn Anas Radiallahu anhu :

The Prophet (peace_be_upon_him) said: If anyone guards a believer from a hypocrite, Allah will send an angel who will guard his flesh on the Day of Resurrection from the fire of Jahannam if anyone attacks a Muslim saying something by which he wishes to disgrace him, he will be restrained by Allah on the bridge over Jahannam till he is acquitted of what he said.

Sunan Abu Dawud, Book 41, 4865- Hasan

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...