❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziada hai!
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ke kuch khaslate baais e Mojab hain?
Sawal: Inmein se baais e Mojab kise kaha gaya hai?
A: Haram aur Halal ki fikar karne wale
B: Allah ke saath shirk karte huye kisi ko maut ho aur wo jahannam mein jaye
C: Apne maal aur nafs ke saath Jihad karne wale
D: Allah ke saath kisi ko shareek na kare aur us par maut ho aur jannat mein jaye
E: Jung ke dauran faut hone wale
F: Hamal ke dauran faut hone wale
G: Beemari main faut ho aur uska ilaj na kiya ho
H: Qata taluq ki halat main faut hone wala
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
***********
Sahi Jawab - BD✅
Reference📚:
-----------
Jabir RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ny farmaya do khaslate baais Mojab hain kisi shakhs ny arz kiya Allah ke Rasool Sal-Allahu Alaihi wasallam woh do Mojab kya hain? Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ny farmaya jo shakhs Allah ke sath shirk karta huwa faut ho jaye, to woh jahannum mein daakhil hoga aur jo shakhs is haal mein faut ho ke woh Allah ke sath kisi ko shareek nah banata ho to woh jannat mein dakhil ho
------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 38
No comments:
Post a Comment