❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Allah Subhanhau apne bande se sab se ziyada qareeb hota hai aur Jo shaqs chahata hai ke Allah Subhanhu ke aur ziyada qareeb hojaye toh wo kaunsa amal kare?
A: Apni Zuban ko Zikr se tar rakhe
B: Quran padh kar sone wale
C: Surah Baqarah ki akhiri do ayat ko raat mein padh kar sone wale
D: Tahajjud padhne wale
E: Gusse ko Qabu karne wale
F: Khamosh rehne wale
G: Paani peelane wale
H: In mein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar
*******
Sahi Jawab - D✅
Reference📚:
-----------
Amr bin `Abasah RadiAllahu Anhu ka bayan hai ke unhon ne Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam ko farmate huwe suna RABB Taa’la apne bande se sab se ziyada qareeb raat ke aakhri nisf hissay ke darmain mein hota hai, to agar tum un logon mein se ho sako jo raat ke is hissay mein Allah ka zikar karte hain to tum bhi is zikar mein shaamil ho kar un logon mein se hojao (yani Tahajjud parho) “
-----------
Abu Umamah [may Allah be pleased with him] said: `Amr bin `Abasah reported to me that he heard the Prophet (ﷺ) say: “The closest that the Lord is to a worshipper is during the last part of the night, so if you are able to be of those who remember Allah in that hour, then do so.”
---------------
عمرو بن عنبسہ رضی الله عنہ کا بیان ہے کہ انہوں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: ”رب تعالیٰ اپنے بندے سے سب سے زیادہ قریب رات کے آخری نصف حصے کے درمیان میں ہوتا ہے، تو اگر تم ان لوگوں میں سے ہو سکو جو رات کے اس حصے میں اللہ کا ذکر کرتے ہیں تو تم بھی اس ذکر میں شامل ہو کر ان لوگوں میں سے ہو جاؤ ( یعنی تہجد پڑھو )
--------------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 3579
No comments:
Post a Comment