Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 24 August 2020

Jo shaqs Allah aur Akhirat ke din per Imaan rakhta ho usse in mein se kaun kaunsi batoh ka khayal rakhna cahiye?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hai!


Sawal: Jo shaqs Allah aur Akhirat ke din per Imaan rakhta ho usse in mein se kaun kaunsi batoh ka khayal rakhna cahiye?


A: Padosi ke saath acha sulooq karna

B: Mehman ka ehtram karna

C: Achi baat kahe ya khamosh rahe

D: Sohar ke alawa teen din se zayda kisi ke liye shog mannana

E: Bagair Mehram ke 1 din se zayda safar karna 

F: Ansar se bughz rakhna

G: Raste se takleef de cheez ko na hatana

H: Salam mein pehal karna 


I: Sahi Jawab ka Intezaar?

*************

Sahi Jawab - ABCDEF✅


Reference📚:

-------------

Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam! farmaya: Jo shakhs Allah aur Akhirat ke din par Imaan rakhta ho usay chahiye ke woh apne padosi ke saath naik sulooq kare aur jo shakhs Allah aur Akhirat ke din par Imaan rakhta ho usay chahiye ke woh apne mehman ka ehtram aur is ki khatardari kare, aur jo shakhs Allah aur Akhirat ke din par Imaan rakhta ho usay chahiye ke achi baat kahe ya khamosh rahe


Sahih Hadees

Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 3672

-------------

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam! ne farmaya jo Aurat Allah aur Akhirat ke din par imaan rakhti ho is ke liye halal nahi ke shohar ke ilawa kisi maiyat par teen din se ziyada shog manaye.

Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 2086

------------------

Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam! ne farmaya kisi aurat ke liye jo Allah aur yaum Akhirat par imaan rakhti ho, yeh durust nahi hai ke woh ek din ki masafat ka safar kare, aur is ke saath koi Mehram nah ho

Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 2899

---------------------

Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi wasallam! ne farmaya : ”koi shakhs jo Allah aur yaum Akhirat par imaan rakhta ho Ansar se bughz nahi rakh sakta“

Jam e Tirmazi Hadees # 3906

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...