Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 24 August 2020

Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq "Jannat mein aisa bala khane hai jin ka baironi hissa andar se aur andruni hissa bahar se nazar aayega."Yh niyamat kaunse logo ke liye hain?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Jawab ek se ziada hai


Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ke irshad ke mutabiq "Jannat mein aisa bala khane hai jin ka baironi hissa andar se aur andruni hissa bahar se nazar aayega."Yh niyamat kaunse logo ke liye hain?


A: Jo kisi musalman se Allah Ta'ala  ke liye mohabbat aur Allah Ta'ala ke liye bughz rakhe

B: Jo achchi baat kare

C: Khana khilaye

D: Wo nawjawan jo apne RABB ki ibadat mein jawani mein bhi masroof raha

E: Jo kisi musalman ke janaze mai jaye aur tadfeen tak qabrastan mein ruke

F: Khoob roze rakhe wale

G: Aisa shakhs jisney aisa chupa ke sadqa diya ki bahiney hath ko khabar nahi huwi ki dahiney haath ne kya diya

H: Allah Subhanahu ki raza ke liye raat mai namaz padhe jab log soye ho


I: Sahi jawab ka intezar hai

*************

Sahi Jawab - BCFH✅


Reference📚:

------------------

Nabi Akram (ﷺ)  ne farmaya :"Jannat mein aise bala khane hai jin ka baironi hissa andar se aur androni hissa bahar se nazar aaye ga. " (ye soon kar) ek aarabi ne khade ho kar arz kiya: Allah kay Rasool! Kis ke liye hai? Aap (ﷺ) ne farmaya : "jo achchi baat kare, khana khilaye, khoob roze rakhe aur Allah ki raza ke liye raat mai namaz padhe jab log soye ho."

------------------

 قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏    إِنَّ فِي الْجَنَّةِ غُرَفًا تُرَى ظُهُورُهَا مِنْ بُطُونِهَا، ‏‏‏‏‏‏وَبُطُونُهَا مِنْ ظُهُورِهَا   ، ‏‏‏‏‏‏فَقَامَ أَعْرَابِيٌّ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏ لِمَنْ هِيَ يَا رَسُولَ اللَّهِ ؟ قَالَ:‏‏‏‏    لِمَنْ أَطَابَ الْكَلَامَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَطْعَمَ الطَّعَامَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَدَامَ الصِّيَامَ، ‏‏‏‏‏‏وَصَلَّى لِلَّهِ بِاللَّيْلِ وَالنَّاسُ نِيَامٌ   

------------------

 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جنت میں ایسے بالاخانے ہیں جن کا بیرونی حصہ اندر سے اور اندرونی حصہ باہر سے نظر آئے گا“،  ( یہ سن کر )  ایک اعرابی نے کھڑے ہو کر عرض کیا: اللہ کے رسول! کس کے لیے ہیں؟ آپ نے فرمایا: ”جو اچھی طرح بات کرے، کھانا کھلائے، خوب روزہ رکھے اور اللہ کی رضا کے لیے رات میں نماز پڑھے جب کہ لوگ سوئے ہوں“ ۱؎۔ 

---------

Sahih Hadees

Jam e Tirmazi Hadees # 1984


https://sunnah.com/tirmidhi/27/90

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...