Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 24 August 2020

Qayamat ke din jab Suraj maqlooqat ke nazdik aa jayega hatta ke unse ek meel ke fasle par hoga. Uss waqt log apne aamal ke mutabiq paseene mein dube rahege. Iss baat ko Nabi (ﷺ) ne kis tarah bayan farmaya?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Jawab ek se zaida hai


Sawal: Qayamat ke din jab Suraj maqlooqat ke nazdik aa jayega hatta ke unse ek meel ke fasle par hoga. Uss waqt log apne aamal ke mutabiq paseene mein dube rahege. Iss baat ko Nabi (ﷺ) ne kis tarah bayan farmaya?


A. Koi apne dono takhno tak

B. Koi aisa hoga jaise paseene mein ghota kha raha hoga

C. Koi apne dono ghutno tak

D. Koi aisa hoga jo sir ke baal paseene mein duba hoga

E. Koi apne dono koloh tak

F. Koi aisa hoga jise farishte paseene mai dubo rahe hoge

G.Koi aisa hoga jise paseene nay lagam dal rakhi hogi

H. Koi apne dahne mubarak tak


I. Sahi jawab ka intezar hai


*********

Sahi Jawab - ACEGH✅


 Reference📚:

------------------

Abdul Rehman bin Jaber se rivayat hai kaha mujhe Sulaim bin Aamer ne ye hadees bayan ki, kaha:

Mujhe Miqdad Bin Aswad Radi Allahu Ta'ala Anhu ne hadees bayan ki, kaha: Qayamat ke din suraj maqlooqat ke bhot nazdik aa jayega hatta ke un se ek meel ke fasle par hoga.

Sulaim Bin Aamer ne kaha: Allah ki qasam! mujhe malom nahi ke meel se un (Miqdad Radi Allahu Ta'ala Anhu) ki murad musafat hai ya wo silaye jis se aankh mai surma dala jata hai?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :"log apne aamal ke mutabiq paseene mai (dube) hoge un mai se koi apne dono takhno tak koi apne dono ghotno tak koi apne dono koloh tak aur koi aisa hoga jise paseene nay lagam dal rakhi hogi."(miqdad radi Allahu Ta'ala anhu)kaha: aur (aisa farmate howe) Rasool Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne apne hath se apne dahne mubarak ki taraf ishara farmaya.

-------

Sahih Hadees

Sahih Muslim Hadees # 7206

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...