Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 24 August 2020

Ek sahabi ne ek sahabi se ye hadees bayan ki kay teen martaba ijazat chahne par agar andar jane ki ijazat na mile to wapas lout jana chahiye. Sunne wale sahabi ne kaha k isper gawah lao to un sahabi ne ek gawah laye.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Ek sahabi ne ek sahabi se ye hadees bayan ki kay teen martaba ijazat chahne par agar andar jane ki ijazat na mile to wapas lout jana chahiye. Sunne wale sahabi ne kaha k isper gawah lao to un sahabi ne ek gawah laye.


Sawal 1: Hadees bayan karne wale sahabi kaun they?

Sawal 2: Jin sahabi ko hadees sunaye gaye wo sahabi kaun they?

Sawal 3: Jo sahabi gawah thy hadees ke wo kaun they?


A: Abu Huraira Radi Allahu anhu

B: Ammar Radi Allahu anhu

C: Abu Musa Ashri Radi Allahu anhu

D: Abu Qahafa radi Allahu anhu

E: Ali Radi Allahu anhu

F: Umar Radi Allahu anhu

G: In mai se koi nahi


H: Sahi jawab ka intezar hai

*********

Sahi Jawab - C/F/G✅


Reference📚:

------------

Abu Musa Ashri Radi Allahu anhu ne Umar Bin Khattab Radi Allahu Anhu se milnay ki ijazat chahi lekin ijazat nahi mili ghaliban Aap is waqt kaam mein mashgool they is liye Abu Musa Radi Allahu anhu wapas laut gaye phir Umar Radi Allahu Anhu farigh huwe to farmaya kya mein ny Abdullah Bin Qais (Abu Musa Radi Allahu Anhu) ki aawaz nahi suni thi inhen andar anay ki ijazat dedo kaha gaya woh lout kar chale gaye toh Umar Radi Allahu Anhu ny inhen bulaa liya. Abu Musa Radi Allahu Anho ny kaha ke hamein isi ka hukum (Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi wasallam se) tha (ke teen martaba ijazat chahanay par agar andar jaany ki ijazat na miley to wapas lout jana chahiye) is par Umar Radi Allahu Anhu ny farmaya, is hadees par koi gawah laoo. Abu Musa Radi Allahu Anhu Ansar ki majlis mein gaye aur un se is hadees ke mutaliq poocha (ke kya kisi ny usay Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi wasallam se suna hai) un logon ny kaha ke is ki gawahi to tumahray saath woh dega jo hum sab mein bohat hi kum Umar hai woh Abu Sa`id Al-Khudri Radi Allahu Anhu ko apne saath le gaye. Umar Radi Allahu Anhu ny yeh sun kar farmaya ke Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi wasallam ka ek hukum mujh se posheeda reh gaya afsos ke mujhe baazaaron ki khareed o farokht ny mashgool rakha. Aap ki morad tijarat se thi.

--------------

Narrated 'Ubaid bin `Umair: Abu Musa asked `Umar to admit him but he was not admitted as `Umar was busy, so Abu Musa went back. When `Umar finished his job he said, "Didn't I hear the voice of `Abdullah bin Qais? Let him come in." `Umar was told that he had left. So, he sent for him and on his arrival, he (Abu Musa) said, "We were ordered to do so (i.e. to leave if not admitted after asking permission thrice). `Umar told him, "Bring witness in proof of your statement." Abu Musa went to the Ansar's meeting places and asked them. They said, "None amongst us will give this witness except the youngest of us, Abu Sa`id Al-Khudri. Abu Musa then took Abu Sa`id Al-Khudri (to `Umar) and `Umar said, surprisingly, "Has this order of Allah's Messenger (ﷺ) been hidden from me?" (Then he added), "I used to be busy trading in markets."

------------------

Sahih Hadees

Sahih Bukhari Hadees # 2062

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...