❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Ek Se Ziada Jawab
Sawal : Kounse Ammal karne se buri mout se nijaat ya bacha jaa sakta hain..?
A. Allah k liye muhabbath
B. Allah k liye nafarath
C. Yateem ki kifalat (Parwarish)
D. Allah k liye jihaad
E. Allah ka khauf
F. Namaz ki pabandi
G. Sadqa dena
H. Waldein ki khidmat
I. Sila Rehmi karna
J. Allah k liye Nikah karna
K. Neki karna burai se rokna
L. Sahi jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab : E I G (EGI) ✅
Reference:
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : ”Sadqa rab ke ghusse ko bujha deta hai aur buri mout se bachata hai “
-----------
Anas bin Malik narrated that : The Messenger of Allah said: "Indeed charity extinguishes the Lord's anger and it protects against the evil death."
------------
رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا: ”صدقہ رب کے غصے کو بجھا دیتا ہے اور بری موت سے بچاتا ہے“۔
-----------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 664
-----------
۔ (۹۰۴۹)۔ عَنْ عَلِیٍّ رضی اللہ عنہ عَنِ النَّبِیِّ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم قَالَ: ((مَنْ سَرَّہُ اَنْ یُمَدَّ لَہُ فِیْ عُمُرِہِ وَیُوْسَعَ لَہُ فِیْ رِزْقِہِ، وَیُدَفَعَ عَنْہُ مِیْتَۃُ السُّوْئِ، فَلْیَتَّقِ اللّٰہَ، وَلْیَصِلْ رَحِمَہُ۔)) (مسند احمد: ۱۲۱۳)
-----------
Syedna Ali Radi Allahu Anhu bayan karte hain ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : jis ko yeh baat achi lagti hai ke is ki Umar lambi kar di jaye aur is ke rizaq mein izafah kar diya jaye aur buri mout ko is se dafaa kar diya jaye to woh Allah taala se darre aur sila rehmi kare.
-----------
۔ سیدنا علی رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا: جس کو یہ بات اچھی لگتی ہے کہ اس کی عمر لمبی کر دی جائے اور اس کے رزق میں اضافہ کر دیا جائے اور بری موت کو اس سے دفع کر دیا جائے تو وہ اللہ تعالیٰ سے ڈرے اور صلہ رحمی کرے۔
------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 9049
No comments:
Post a Comment