Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 24 August 2020

Rasool-Allah (ﷺ) ne apne marizull wafaat ke waqt kaun kaunsi batoh ki yaa kiske bare mein wasiyat ki thi?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗


Jawab ek se ziada hai


Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ne apne marizull wafaat ke waqt kaun kaunsi batoh ki yaa kiske bare mein wasiyat ki thi?


A. Namaz 

B. Dajjal

C. Ghulam

D. Mushriko ko jazeera arab se nikal dena

E. Wafad ke sath isi tarah khatir tawaza ka mamla karna jis  tarah mai karta tha

F. Apni zaban ki hifazat karna

G. Yahud Nasara ki tarah Ambiyao ki Qabro ko Masjid na banana

H. Ansar

I. Maut ke waqt Allah Ta'ala se husn zan rakhna


J. Sahi jawab ka intezar hai

******************


Sahi Jawab - ACDEGHI✅


Reference📚:

------------------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi ki aakhri baat(inteqal ke mauqe par)ye thi ke namaz ka khayal rakhna namaz ka khayal rakhna, aur jo tumhari milkiyat mai (ghulam aur laundi) hai un ke mamlat mai Allah se darte rehna.


Sunnan e Abu Dawood Hadees # 5156


https://sunnah.com/abudawud/43/384

------------------

Unho ne Ibne Abbas Radi Allahu Anhuma se suna aap ne jumerat ke din ka zikar karte huwe kaha,tumhe malum hai ke jumerat ka din,haye !ye kaunsa din hai? iss ke bad wo itna roye ke un ke aansowo se kankariya tar ho gaye Saeed ne arz kiya,ya Abu Abbas! Jumerat ke din se kya matlab hai? unho ne kaha ke isi din Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki taklif (marzul maut)mai shiddat paida huwi thi aur Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tha ke mujhe(likhne ka)ek kaghaz dey do take mai tumhare liye ek aise kitab likh jao,jis ke bad tum kabhi gumrah na ho.iss par logo ka ikhtilaf ho gaya.Nabi sallalahu alaihi wasallam ne khud hi farmaya ke Nabi ki maujudgi mai jhagadna ghair munasib hai,dosre log kahne lage,bhala kya Aan hazrat sallalahu alaihi wasallam be kar bate farmaye ge achcha,phir poch lo,ye soon ker Aanhazrat sallalahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe meri halat par chod do,kiyonki iss waqt mai jis aalam mai ho,wo iss se bahter hai jis ki taraf tum mujhe bula rahe ho.iss ke bad Aanhazrat sallalahu alaihi wasallam ne teen baton ka hukam farmaya,ke mushriko ko jazeera arab se nikal dena aur wafad ke sath isi tarah khatir tawaza ka mamla karna, jis tarha mai karta tha. teesri bat kuch bhali si thi,ya to saeed ne usko bayan na kiya,ya mai bhool gaya.sufiyan ne kaha ye jumla(teesri bat kuch bhali si thi)Sulaiman ka kalam hai.


Reference : Sahih al-Bukhari 3168

In-book reference : Book 58, Hadith 10

USC-MSA web (English) reference : Vol. 4, Book 53, Hadith 393

------------------

Abu baker aur abbas radi Allahu anhuma Ansar ki ek majlis se guzre, dekha ke tamam ahle majlis ro rahe hai,pocha aap log kiyo ro rahe hai?majlis walo ne kaha ke abhi hum Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki majlis ko yaad kar rahe they jis mai hum baitha karte they(ye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke marzul wafat ka waqia hai)iss ke bad ye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mai hazir huwe aur aap ko waqia ki ittala di,bayan kiya ke iss per Aap Sallallahu Alaihi Wasallam baher tashrif laye,sir mubarak par kapde ki patti bandhi howi thi,rawi ne bayan kiya ke phir aap membar par tashrif laye aur uske bad phir kabhi menbar par tashrif na la sake,Aap ne Allah ki hamd o sana ke bad farmaya mai tumhe Ansar ke bare mai wasiyat karta ho ke wo mere jism o jaan hai,unho ne apni tamam zimmedariya pori ki hain laikin iska badla jo unhe milna chahye tha,wo milna abhi baqi hai,iss liye tum log bhi un ke naik logo ki naikiyo ki qadar karna aur un ke khata karo se dar guzar karte rahna.


Sahih Bukhari Hadees # 3799

------------------

Jab Nabi kareem sallalahu alaihi wasallam marzul wafta mai mubtila huwe to aap Sallallahu Alaihi Wasallam apni chadar ko bar bar chahre par dalte jab kuch afaqa hota to apne mubarak chehre se chadar hata detey.Aap sallalahu alaihi wasallam ne isi izterab o pareshani ki halat mai farmaya, yahood o nasara par Allah ki phatkar ho ke unho ne apne ambiya ki qabro ko masjid bana liya. Aap sallalahu alaihi wasallam ye farma ker ummat ko aise kamo se darate they.


Sahih Bukhari Hadees # 436

------------------

Jabir Radi Allahu Ta'ala anhu se rivayat ki unho ne kaha :mai ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko aap ki wafat se teen deen pahle ye farmate howe suna: "tum mai se her shakhs ko isi halat mai maut aaye ke wo Allah ke mutalliq husn zan rakhta ho (Yani khatma ke waqt Allah Ta'ala ki rahmat se na ummed na ho balke ummed rakhe apne malik ke fazl o karam par aur guman rakhe apni nijat aur maghfirat ka)."


Sahih Muslim Hadees # 7229

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...