Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 24 August 2020

Ek baar ek bail insano se baate karne laga aur us par Rasool-Allah Sallaahu Alaihi wasallam ne kuch sahaba ka naam lekar farmaya ki is baat ke haq hone par mere saath saath .................... ka bhi imaan hai , wo sahaba kaun they ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziada hain


Sawal : Ek baar ek bail insano se baate karne laga aur us par Rasool-Allah Sallaahu Alaihi wasallam ne kuch sahaba ka naam lekar farmaya ki is baat ke haq hone par mere saath saath .................... ka  bhi imaan hai , wo sahaba kaun they  ?


A. Ali Radi Allahu anhu

B. Hassan Bin Sabit Radi Allahu anhu

C. Abu Baker Radi Allahu anhu

D. Abu Ubaida Bin Jarrah Radi Allahu anhu

E. Umar Bin Khattab Radi Allahu anhu

F. Usama Bin Zaid Radi Allahu anhu

G. Hasan Bin Ali Radi Allahu anhu

H. Abu Huraira Radi Allahu anhu


I. Sahi jawab ka intezar hai


*****


Sahi Jawab - CE✅


Reference📚:

---------------

Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ny hamein namaz parhai, phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ny hamari taraf mutwajjah ho kar farmaya ek dafaa ek aadmi bail ko hanke ja raha tha ke woh is par sawaar hogaya aur is ny usay mara, agay se bail ny bol kar kaha ke hamein sawari ke liye to paida nahi kiya gaya, hamein to kheti baari ke liye paida kiya gaya hai logon ny yeh baat sun kar Azrah taajjub kaha Subhan Allah! bail bate karne laga to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ny farmaya is baat ki sadaqat par mera, Abu Bakr aur Umar ka bhi Imaan hai halaanke syedna Abu Bakr aur Syedna Umar RadiAllahu Anhu wahan maujood nahi thy phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ny farmaya ek dafaa ek aadmi apni bakriyon ke raywar mein tha ke ek bhediye ny hamla karkay ek bakri ko uchak liya, is ny is ka peecha karkay usay ja liya aur is se bakri ko churra liya, to bhediye ny bol kar kaha arrey to ny aaj to usay mujh se churra liya, fitnon ke dinon mein jab log maweshion ko yuhn chore kar bhaag jayen ge aur is din mere siwa un ka koi charwaha (Muhafiz) nahi hoga, tab un ko mujh se kaun bachaaye ga? Logon ny yeh sun kar bhi Azzrah taajjub kaha Subhan Allah! Behdiya Insanon ki terhan baate karne laga lekin Aap Sallallahu Alahih Wasallam ny farmaya is baat ki sadaqat par mera, Abu Bakr ka aur Umar ka bhi Imaan hai halaanke woh dono is waqt wahan mojood nah they.

-----------------

سیدنا ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ  سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے ہمیں نماز پڑھائی، پھر آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے ہماری طرف متوجہ ہو کر فرمایا :  ایک دفعہ ایک آدمی بیل کو ہانکے جا رہا تھا کہ وہ اس پر سوار ہوگیا اور اس نے اسے مارا، آگے سے بیل نے بول کر کہا کہ ہمیں سواری کے لیے تو پیدا نہیں کیا گیا، ہمیں تو کھیتی باڑی کے لیے پیدا کیا گیا ہے۔  لوگوں نے یہ بات سن کر ازراہ تعجب کہا: سبحان اللہ! بیل باتیں کرنے لگا۔ تو آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اس بات کی صداقت پر میرا، ابو بکر اور عمرکا بھی ایمان ہے۔  حالانکہ سیدنا ابو بکر اور سیدنا عمر  رضی اللہ عنہما  وہاں موجود نہیں تھے۔ پھر آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  ایک دفعہ ایک آدمی اپنی بکریوں کے ریوڑ میں تھا کہ ایک بھیڑیئے نے حملہ کرکے ایک بکری کو اچک لیا، اس نے اس کا پیچھا کرکے اسے جا لیا اور اس سے بکری کو چھڑا لیا، تو بھیڑیئے نے بول کر کہا: ارے تو نے آج تو اسے مجھ سے چھڑا لیا، فتنوں کے دنوں میں جب لوگ مویشیوں کو یونہی چھوڑ کر بھاگ جائیں گے اور اس دن میرے سوا ان کا کوئی چرواہا (محافظ) نہ ہوگا، تب ان کو مجھ سے کون بچائے گا؟  لوگوں نے یہ سن کر بھی ازراہ تعجب کہا: سبحان اللہ! بھیڑیا انسانوں کی طرح باتیں کرنے لگا۔ لیکن آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اس بات کی صداقت پر میرا، ابو بکر کا اور عمر کا بھی ایمان ہے۔  حالانکہ وہ دونوں اس وقت وہاں موجود نہ تھے۔ 

--------------

Sahih Hadees

Musnad Ahmed Hadees # 11573

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...