Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 4 August 2021

Ek Baar ek Sahabi ke ghar kuch mehmaan aye us sahabi ne khana paish kiya par mehmanon ki farmaish thi ke unhe kuch aur bhi khaana hai tab us sahabi ne apna saman rahan rakhkar unki farmaish puri ki

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 756❗

Ek Baar ek Sahabi ke ghar kuch mehmaan aye us sahabi ne khana paish kiya par  mehmanon ki farmaish thi ke unhe kuch aur bhi khaana hai tab us sahabi ne apna saman rahan rakhkar unki farmaish puri ki

Sawal : Us sahabi ne apna kaunsa samaan rahan rakha tha ?

A : Sandook
B : Jutey
C : Talwar
D : Bartan
E : Chandi ka sikka
F : Lohe ki thaal
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka Intezaar
******
Sahih Jawab -D✅

Hadith Salman RadiAllahu ne apne wazu ka bartan girwi rakh kar apne doston ki farmaish puri ki

Reference📚:
---
Shakik RadiAllahu Anhu kehte hain ke mein aur mera dost Salman RadiAllahu Anhu ke paas gaye to unhon ne roti aur namkeen cheez hamare samne kar di phir farmaya : Aap radi Allah Anhu ne farmaya agar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne hamein takalouf se mana na kiya hota to mein tumahre liye takalouf karta. Mere dost ne kaha agar hamari is namkeen dish mein pahadi pudina hota to kitna achcha hota unhon ne apne Wazu ka bartan sabzi farosh ki taraf bheja, usse girwi rakha aur pahadi pudina le aaeye aur is mein daal diya jab hum ne khana kha liya to mere dost ne kaha Alhumdullilah jis ne hamein hamare rizaq par Qanaat ki taufeeq di. Salman ne kaha agar tum is par Qanaat karte jo tumahre samne paish kiya gaya to mera bartan girwi na rakha hota .
---
شقیق کہتے ہیں کہ میں اور میرا دوست سلمان‌رضی اللہ عنہ کے پاس گئے تو انہوں نے روٹی اور نمکین چیز ہمارے سامنے کر دی۔پھر فرمایا:  آپ رضی اللہ عنہ  نے فرمایا: اگر رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نےہمیں تکلف سے منع نہ کیا ہوتا تو میں تمہارےلئےتکلف کرتا۔ میرے دوست نے کہا: اگر ہماری اس نمکین ڈش میں پہاڑی پودینہ ہوتا تو کتنا اچھا ہوتا۔ انہوں نے اپنے وضو کا برتن سبزی فروش کی طرف بھیجا ،اسے گروی رکھا اورپہاڑی پودینہ لے آئے۔ اور اس میں ڈال دیا۔ جب ہم نے کھانا کھا لیا تو میرے دوست نے کہا: الحمدللہ جس نے ہمیں ہمارے رزق پر قناعت کی توفیق دی۔ سلمان نے کہا: اگر تم اس پر قناعت کرتے جو تمہارے سامنے پیش کیا گیا تو میرا برتن گروی نہ رکھا ہوتا۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#433-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...