Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 4 August 2021

Wo kounsa amal hai jo Allah subhanahu ki raza, gunah ki bakhshish aur gunah se durr rahne ka sabab hai ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 753❗

Sawal : Wo kounsa amal hai jo Allah subhanahu ki raza, gunah ki bakhshish aur gunah se durr rahne ka sabab hai ?

A : Sadqa karna
B : Zakaat dena
C : Sila rehmi karna
D : Salaam karna
E : Mukammal wazu karna
F : Masjidon ko abaad karna
G : Qayam ul lail karna
H : In mein se koi nahi
****
Sahi Jawab G ✅ (Raat ko Qiyam karna yani Tahhajud ki namaz padhna
Hadith: Tahajjud padhne ki fazilat..

Reference : 📚
---------
Hazrat Abu Amamah Radi Allahu Anhu bayan karte hain, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : Namaz Tahajjud padha karo, kyunke wo tum se pehle saliheen ki rosh hain, tumahre RABB ka qurb (raza) haasil karne, gunaahon ki muafi aur gunaahon se baaz (durr) rahne ka zariya hain
----------
حضرت ابوامامہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ نماز تہجد پڑھا کرو ، کیونکہ وہ تم سے پہلے صالحین کی روش ہے ، تمہارے رب کا قرب حاصل کرنے ، گناہوں کی معافی اور گناہوں سے باز رہنے کا ذریعہ ہے ۔‘‘
----------
Hazrat Abu Amamah Radi Allahu Anhu narrates that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: “Perform Tahajjud prayer, because it is the way of the righteous before you, the means of gaining nearness to your Lord, forgiveness of sins and abstinence from sins.
---------
Mishkat ul Masabeeh#1227-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...