Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 4 August 2021

Qayamat ke din Allah Subhanahu bande se kya sawal karega ke____

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 754❗

Mafhum e hadith Mukammal karo......

Qayamat ke din Allah Subhanahu bande se kya sawal karega ke____?

A: Jab tum se kaha gaya ke Ahle bait se Mohabbat rakho to tum ne unse kuyn bughz rakha
B: Jab tum ko hukm diya gaya ke halal rizq khao to tum ne haram ka rasta kuyn ikhtiyar kiya
C: Jab tum ko do naraz musalmano ke beech sulah ka hukm diya gaya to tum ne un ke beech judai kuyn dal di
D: Jab tum ko maal ata kiya gaya to zakat kuyn ada na ki
E: Jab tumhe jihad ka hukm huwa to tum ne jihad kuyn nahi kiya
F: Jab tum ne buraie dekhi to tumhe kis cheez ne mana kiya tha ke iska inkaar na karo
G:  Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - F✅

Hadith: Qayamat ke din Allah Subhanahu bande se sawal karega ke jab tumne buraie dehki to tum kis wajah se usse mana nahi kar paaye

Reference📚:
-------
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya Qayamat ke din Allah Subhanahu taala bande se yahan taq sawal karega ke jab tum ne buraiee dekhi to tumhe kis cheez ne mana kiya tha ke is ka inkaar na karo? Jab Allah Subhanhu taala bande ko is ki Hujjat sikha dega to wo banda kahega Eh mere parvardigaar! Mein ne tujh par bharosa kiya tha aur logon se darr gaya tha
--------------------
ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ نے فرمایا: قیامت کے دن اللہ تعالیٰ بندے سے یہاں تک سوال کرے گا کہ: جب تم نے برائی دیکھی تو تمہیں کس چیز نے منع کیا تھا کہ اس کا انکار نہ کرو؟  جب اللہ تعالیٰ بندے کو اس کی حجت سکھا دے گا۔ تو وہ بندہ کہے گا:اے میرے پروردگار! میں نے تجھ پر بھروسا کیا تھا اور لوگوں سے ڈر گیا تھا
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2542-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...