Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 23 February 2020

Qayamat ke din wo kaun log honge jo Nabi Sallahu Alahi waSallam se sabse zaiyda durr honge?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaiyda hain!

Sawal: Qayamat ke din wo kaun log honge jo Nabi Sallahu Alahi waSallam se sabse zaiyda durr honge?

A: Bad kalami karne wale
B: Akaad ke chalne wale
C: Logo ke beech mein fasaad dalne wale
D: Chugalkhor (peeche baath karne wale)
E: bina soche samjhe faltu baate karne wale
F: Maal ki hiras karne wale
G: Bahut zayda bolne wale
H: Takabbur karne wale


I: Sahi Jawab ka Intezaar


*****************

Sahi Jawab - ABEGH✅

Reference📚:
------
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke tum mein mujhe sab se ziyada mehboob aur qayamat ke din mere sab se ziyada qareeb bethnay wala shakhs woh hoga jis ka ikhlaq tum mein sab se aaccha hoga aur mujhe tum mein sab se ziyada na pasandeeda aur qayamat ke din mujhse sab se ziyada durr woh log woh honge joh fuzool goi (bad kalami) karne walay, banchen mourr kar battein karne walay , aur pur takalouf guftagu karne (yani bina soche samjhe faltu baate karne) walay akaad kar chalne walay hain Sahaba ne kaha hamein fuzool goi aur peeche mourr kar battein karne walay ke baarey mein to maloom hain یہمُتَفَيْهِقُونَکون Almutaffeena kaun hain? Aap Salalhu Alahi waSallam ne farmaya Takabbur karne walay.
-----
جابررضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ : تم میں مجھے سب سے زیادہ محبوب اور قیامت کے دن میرے سب سے زیادہ قریب بیٹھنے والا شخص وہ ہوگا جس کا اخلاق تم میں سب سے اچھا ہوگا۔ اور مجھے تم میں سب سے زیادہ نا پسندیدہ اور قیامت کے دن مجھ سے سب سے زیادہ دور وہ لوگ وہ ہوں گے جو فضول گوئی (بدکلامی) کرنے والے، بانچھیں موڑ کر باتیں کرنے والے،اور پر تکلف گفتگو کرنے والے اکڑ کر چلنے والے ہیں۔ صحابہ نے کہا ہمیں فضول گوئی اور بانچھیں موڑ کر باتیں کرنے والے کے بارے میں تو معلوم ہے یہمُتَفَيْهِقُونَکون ہیں؟ آپ نے فرمایا:تکبرکرنے والے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 84
-----
Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam ne farmaya Beshak (duniya mein) tum mein se mujhe ziyada pasand o mehboob aur roz-e- qayamat mere ziyada qareeb woh shakhs hoga jo tum mein se ziyada baa Akhlaaq hoga, aur tum mein se (duniya mein) mujhe sab se ziyada napasand aur roz-e- qayamat mujh se sab se ziyada durr woh shakhs hoga jo tum mein se bad ikhlaq, bohat baatey karne walay, zabaan daraaz aur gala phaar kar baatey karne walay hain.
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ بے شک (دنیا میں) تم میں سے مجھے زیادہ پسند و محبوب اور روزِ قیامت میرے زیادہ قریب وہ شخص ہو گا جو تم میں سے زیادہ بااخلاق ہو گا ، اور تم میں سے (دنیا میں) مجھے سب سے زیادہ ناپسند اور روزِ قیامت مجھ سے سب سے زیادہ دور وہ شخص ہو گا جو تم میں سے بد اخلاق ، بہت باتیں کرنے والے ، زبان دراز اور گلا پھاڑ کر باتیں کرنے والے ہیں ۔‘‘    حسن ، رواہ البیھقی فی شعب الایمان ۔
-----
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 4797

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...