Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 23 February 2020

Allah Subhanahu taala ne kaunse shaqs ko apni rehmat se bohat durr kardiya hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu taala ne kaunse shaqs ko apni rehmat se bohat durr kardiya hain

A: jhoot bolne wala
B: yateem ka maal khane wala
C: waledain ki nafarmai karne wala
D: sharab ka aadi
E: logo ka Aib nikalne wala
F: Ilm chupane wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar jawab G hai toh sahi jawab likhiye!

*******************

Sahi Jawab – C✅

Reference📚:
-----
Abi bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallalahu Alahi wasallam ne farmaya jis ne Apne walidain ya kisi ek ko apni zindagi mein paaya is ke bawajood woh aag mein daakhil ho gaya to Allah taala ney usay apni rehmat se bohat durr kardiya.
-----
ابی بن مالکرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے اپنے والدین یا کسی ایک کواپنی زندگی میں پایا اس کے باوجود وہ آگ میں داخل ہو گیا تو اللہ تعالیٰ نے اسے اپنی رحمت سے بہت دور کردیا۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 173

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...