Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 23 February 2020

Momin ki Neki ke badle Duniya mein usse Rizq pahochaya jata hai aur Akhirat mein bhi iska badla diya jayega

Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Momin ki Neki ke badle Duniya mein usse Rizq pahochaya jata hai aur Akhirat mein bhi iska badla diya jayega
--------
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa Sallam ne farmaya : Allah Subhanhau Ta'ala Momin ki Neki ke baare mein Zulm nahi karta. Duniya mein bhi iske badle usse Rizq pahochaya jata hai aur Akhirat mein bhi iska badla diya jayega . jabke Kafir ko iski nekiyo ke  badle ( jo is ne Allah ke liye Amal kiye hunge ) duniya mein badla de diya jata hai, jab wo Allah Subahnahu se mulaqaat karega to iski aisi koi neki nahi hogi jiske badle usse ajar diya jaye
--------
انس‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ مومن كی نیكی كے بارے میں ظلم نہیں كرتا ۔ دنیا میں بھی اس كے بدلے اسے رزق پہنچایا جاتا ہے اور آخرت میں بھی اس كا بدلہ دیا جائے گا۔ جب كہ كافر كو اس كی نیكیوں كے بدلے( جو اس نے اللہ كے لئے عمل كئے ہونگے)دنیا میں بدلہ دے دیا جاتا ہے، جب وہ اللہ سے ملاقات كرے گا تو اس كی ایسی كوئی نیكی نہیں ہوگی جس كے بدلے اسے اجر دیا جائے۔ 
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3647

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...