Bismilahirrahmanirrahim
La ilaha illAllah kahne ki fazilat
----------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din sabse ziyada meri shafaat usko naseeb hogi jo sachche Dil se La ilaha illAllah kahe
Sahih Bukhari , Jild 1, 99
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Agar koi banda Qayamat ke din is halat mein pesh ho ki usne La ilaha illAllah ka iqrar kiya ho aur us se uska maqsood Allah subhanahu ki khushnudi hasil karna ho to Allah subhanahu dozakh ki aag ko us par haram kar dega
Sahih Bukhari Jild 7, 6423
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jiska aakhri kalma La ilaha illAllah hoga wo jannat mein dakhil hoga
Sunan Abu dawud,Jild 2, 1339-Sahih
No comments:
Post a Comment