❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Qayamat ke din ek “Shujaa” naam ka saanp nikala jayega wo kis shaqs ke liye hoga?
A: Deen ke raha mein maal karch karne mein bhukuli karne wala
B: Geebat karne wala
C: Sood ka Maal khane wala
D: Maal hote huwe bhi zaroorat mand rishtedaro ki madad nahi karne wala
E: Haram maal se apne gharwalo ko khilane wala
F: Logo ki nahaq zameen le lene wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar?
******************
Sahi Jawab - D✅
Reference📚:
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi bhi rishtedar apne kisi rishtedar ke paas aata hai aur Allah Subhanahu ne usay jo ataa Kiya hai usmein se fazal (jo cheez jarurt se zyada ho) ka sawal karta hai aur wo bukhal se pesh aata hai qayamat ke din Uske liye dozakh se ek sanp nikala jaega jisko shujaa kaha jata hai wo phunkar raha hoga us se uski gardan mai tauk bana kar dal diya jaega
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said when a person go to his relative and ask for giving him property which is surplus with him and he refuses or becomes miser to give it to him, On the Day of resurrection a snake will brought out from the hell which is called Shujaa, and it would be made to wear around his neck
---------
رسول اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کوئی بھی رشتہ دار اپنے کسی رشتے دار کے پاس آتا ہے اور اللہ تعالیٰ نے اسے جو عطا کیا ہے اس میں سے فضل (جو چیز ضرورت سے زیادہ ہو ) کا سوال کرتا ہے اور وہ بخیلی سے پیش آتا ہے تو قیامت کے دن اس کے لئے جنمو سے ایک سانپ نکالا جائے گا جسے شجاع کہا جاتا ہے۔ وہ پھنکار رہا ہوگا۔ اسے اس کی گردن میں طوق بنا کر ڈال دیا جائے گا۔
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 168
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...
No comments:
Post a Comment