❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Ek Sayel ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya ke Agar koi shakhs uss par ziyadati kare toh usse kya karna cahhaiye
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne usse kaunsa hukum irshad farmaya
A: Sabr se kaam le
B: usse teen martaba maaf kare aur wo na manne toh usse ladayi kare
C: usse teen martaba Allah ka khauf dilaye aur agar wo na manne toh usse ladayi kare
D: usse maaf karde aur khamosh rahe
E: usse ladayi karo aur uska qatal kardo
F: uski islah kare
G: usse Salam kar ke waha se nikal jao
H: Sahi Jawab ka Intezaar
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
******************
Sahi Jawab - C✅
Mafhum e hadith - ziyadati karne wale shakhs ko teen martaba Allah ka khauf dilaye aur agar wo phir bhi na maane toh usse ladayi karo
Reference📚:
------
Ek sayel ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sawal kiya Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam agar koi shakhs mujh par ziyadati kare (toh mujhe kya karna chahiye) Nabi Sallallahu Alaihi Wasallan ne is se kaha usay teen martaba Allah ka khauf dilao, agar woh nah maane to is se ladai karo, agar woh tujhye qatal kar de toh tum Jannat mein ho aur agar tum usse qatal kar do to woh jahannum mein hai
-----
قہید غفاری رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ ایك سائل نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سوال كیا: اے اللہ كے رسول صلی اللہ علیہ وسلم اگر كوئی شخص مجھ پر زیادتی كرے (تومجھے کیا کرنا چاہئے) ؟ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے اس سے كہا: اسے تین مرتبہ اللہ کا خوف دلاؤ، اگر وہ نہ مانے تو اس سے لڑائی كرو، اگر وہ تجھے قتل كر دے تو تم جنت میں ہو اور اگر تم اسے قتل كر دو تووہ جہنم میں ہے
-------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha#1638
No comments:
Post a Comment