❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hain❗
Sawal: Aala Akhlaq se momeen kaun kaunsa darja hasil kar sakta hai
A: sare din ke
rozedaar aur sari raat tahajuud guzar ka sawab
B: Meezan e Amal mein
bhari koi cheez nahi
C: Jannat mein ghar
ki zamanat
D: iman ke aitbar se
Kamil momeen ka darjah hasil kar sakta
E: Jannat wajib
F: logo mein mehboob
ban jata hai
G: Jannat mein izzat
ka libaas pehnaya jayega
H: Sahi Jawab ka intezaar
********************
Sahih Jawab - ABCDE✅
Momeen Apne Aala Akhlaq se bahut se darje hasil kar sakta hai
Reference📚:
-----------
Aisha radi Allahu
anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
momeen Apne aala akhlaq se sare din ke rozedar aur sari raat ke tahajudguzar ka
darja hasil kar leta hai
Sunan Abu dawud, Jild
3, 1370-sahih
----------
Abu Darda radi Allahu
anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Meezan e aamal mein achche Akhlaq se bhari koi cheez nahi
Sunan Abu dawud, Jild
3, 1371-sahih
----------
Rasool-Allah
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main us shakhs ke liye aala Jannat mein
ek ghar ki zamanat deta hu jiska akhlaq aala (bahut achcha) ho
Sunan Abu Dawud, Jild
3, 1372-Hasan
----------
Rasool-Allah
Sallallahu Alalhi wasallam ne farmaya Imaan ke aitbar se Kamil Momeen wo hain
jinke Akhlaq behatreen hain
Sunan Abu Dawud, Jild
3 ,1257-Sahih
---------
Hani RadiAllahu Anhu
se riwayat hai ke jab woh Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ke paas aaye to
kaha Eh Allah ke Rasool Sallahu Alahi waSallam! konsa amal jannat wajib karta
hai? Aap Sallahu Alahi waSallam ney farmaya : achcha Akhlaq aur khana khilana
lazim karlo.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 95
No comments:
Post a Comment