Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 18 May 2020

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne kaunse amal ke liye farmaya ke bande ne nashukri ki

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne kaunse amal ke liye farmaya ke bande ne nashukri ki

A: Maal hone par aur ziyada ki hiris karne wala
B: niyamato ko chupane wala
C: kisi ka Aib zaheer karne wala
D: Sajda e shukar na karne par
E: Salam mein pehal na karne wala
F: Salam ka jawab nahi dene wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar aapka jawav G hai toh sahi jawab likhiye

*********************

Sahi Jawab - B✅

Jis ne Niyamato ko chupaya uss ne nashukri ki

Reference📚:
------
Jabir RadiAllahu Anhu se rivayat hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shakhs ko koi Niyamat di gayi is ne is ka zikar kiya to is ne is Niyamat ka shukar ada kiya aur agar is ne usay (yani niyamato) ko chupaya to is ne is ki nashukri ki.
------
جابر‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص کو کوئی نعمت دی گئی اس نے اس کا ذکر کیا تو اس نے اس نعمت کا شکر ادا کیا اور اگر اس نے اسے چھپایا تو اس نے اس کی ناشکری کی۔
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 402

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...