Bismillahirrahmannirrahim
❗Dusro ko hidayat karna par khud Aamal na karne wale ke liye Jahannum mein Azab
------
Hazrat Usama bin Zaid RadiAllahu Anhu ne bayan kiya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko maine ye farmate huwe suna tha ke qayamat ke din ek shakhs ko laya jayega aur jahannam me daal diya jayega. Aag mein uski aantein baahar nikal ayengi aur wo shakhs is tarah chakkar lagane lagega jaisa gadha apni chakki par gardish kiya karta hain. Jahannam mein dale jane wale us ke qareeb aa kar jama ho jayenge aur usse kahenge 'Eh Falaan! Aaj tumhari ye kya haalat hain? Kya tum hume achche kaam karne ke liye nahi kehte thy aur kya tum bure kaamo se humko mana' nahi kiya karte thy?' Wo shakhs kahega ke haan! mein tumhe toh achche kaamo ka hukm deta tha lekin khud nahi karta tha. Bure kaamo se tumhe mana' bhi karta tha lekin khud kiya karta tha."
Isse Bukhari aur Muslim ne riwayat kiya hain
Al Lulu Wal Marjan h (2/1882)
📌Note: Is hadis se malum hua ke sirf dusro ko hidayt nahi karna chahiye balke khud bhi us par amal karna chahiye. Beshak! Har musalman par farz hai ke wo apne musalman bhai ko neki ki taraf bulaye aur bure kaame se roke lekin sirf dusro ko hidayt karna hi kafi nahi hai, balke har insaan ko pahle apne andar jhaank kar dekhna chahiye ke jis neki ki wo hidayt kar raha hai, kya wo khud us par amal karta hai? Aur jis burai se wo logo ko rok raha hai, kahi us burai me wo khud to molauwwis nahi hai? Agar aisa hai to wo apna thikana jahannam me bana raha hai. To aise logo ko sabse pahle apni islaah karna chahiye.
🌹ALLAH Subhanahu hum sab ko buraiyo se bacha kar nek aamal ki taufiq de aur jahannam ki aag se mahfooz rakhe. AMEEN.🌹
No comments:
Post a Comment