Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 29 January 2020

wo kaunsa Amal hain jo Allah Subhanahu ko sabse zayda mehboob hain aur jis se Allah Subhanahu ka Qurb hasil kiya jaata hain


Only-Quran-Hadith-Quiz


Sawal: wo kaunsa Amal hain jo Allah Subhanahu ko sabse zayda mehboob hain aur jis se Allah Subhanahu ka Qurb hasil kiya jaata hain?

A: Farz Ibadate
B: Nafl Ibadate
C: Tahhajud ki pabandi
D: Zikr Ilahi
E: Sila Rahmi
F: Achche Akhlaq
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar



Sahi Jawab - A

Reference📚:
--------------
Abu Huraira bayan karte hain, Rasool Allah salle llahu alahi wassalam ne farmaya: 'Allahu tala ne farmaya:' Jo shakhs mere kisi pasandida shakhs se dushmani rakhe toh mera usse yelaan jung hai, aur mera banda Jin jin ibadat k zariye mera qurb hasil kerta hai un men se wo ibadat mujhe bohot mehboob hai jo main ne us per Farz ki hai.. Mera banda nawafil ke zariye mera qurb hasil kerta rehta hai hatta ki main usse mohbbat karne lagta hun, jub main us se mohbbat kerta hun toh main uska kaan ban jaata hun jisse wo sunta hai, uski aankh ban jaata hun jisse wo dekhta hai, uska haath ban jaata hun jisse wo pakadta hai, uska panv banjata hun jisse wo chalta hai, aur agar wo  mujhse koi cheez mangta hai toh main use ata ker deta hun, agar wo mujhse panah talab kerta hai toh main use panah de deta hun, main ne jo kaam kerna hota hai uske karne men mujhe kabhi utna terdid nahin hota jitna kisi momin ki jaan khabz karte waqt terdid hota hai wo maut ko na gawar jaanta hai aur main us ki yiza ko na gawar jaanta hun, halan ke wo (Maut) toh use zaroor aati hai"
--------------
وَعَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:   إِنَّ اللَّهَ تَعَالَى قَالَ: مَنْ عَادَى لِي وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ وَمَا تَقَرَّبَ إِلَيَّ عَبْدِي بِشَيْءٍ أَحَبَّ إِلَيَّ مِمَّا افْتَرَضْتُ عَلَيْهِ وَمَا يَزَالُ عَبْدِي يَتَقَرَّبُ إِلَيَّ بِالنَّوَافِلِ حَتَّى أُحِبَّهُ فَإِذَا أَحْبَبْتُهُ كُنْتُ سَمْعَهُ الَّذِي يَسْمَعُ بِهِ وَبَصَرَهُ الَّذِي يُبْصِرُ بِهِ وَيَدَهُ الَّتِي يَبْطِشُ بِهَا وَرِجْلَهُ الَّتِي يَمْشِي بِهَا وَإِنْ سَأَلَنِي لَأُعْطِيَنَّهُ وَلَئِنِ اسْتَعَاذَنِي لَأُعِيذَنَّهُ وَمَا تَرَدَّدْتُ عَنْ شَيْءٍ أَنَا فَاعِلُهُ تَرَدُّدِي عَنْ نَفْسِ الْمُؤْمِنِ يَكْرَهُ الْمَوْتَ وَأَنَا أَكْرَهُ مُسَاءَتَهُ وَلَا بُدَّ لَهُ مِنْهُ  . رَوَاهُ البُخَارِيّ
--------------------
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ نے فرمایا :’’ اللہ تعالیٰ نے فرمایا :’’ جو شخص میرے کسی پسندیدہ شخص سے دشمنی رکھے تو میرا اس سے اعلان جنگ ہے ، اور میرا بندا جن جن عبادات کے ذریعے میرا قرب حاصل کرتا ہے ان میں سے وہ عبادت مجھے بہت محبوب ہے جو میں نے اس پر فرض کی ہے ۔ میرا بندہ نوافل کے ذریعے میرا قرب حاصل کرتا رہتا ہے حتیٰ کہ میں اس سے محبت کرنے لگتا ہوں ، جب میں اس سے محبت کرتا ہوں تو میں اس کا کان بن جاتا ہوں جس سے وہ سنتا ہے ، اس کی آنکھ بن جاتا ہوں جس سے وہ دیکھتا ہے ، اس کا ہاتھ بن جاتا ہوں جس سے وہ پکڑتا ہے ، اس کا پاؤں بن جاتا ہوں جس سے وہ چلتا ہے ، اور اگر وہ مجھ سے کوئی چیز مانگتا ہے تو میں اسے عطا کر دیتا ہوں ، اگر وہ مجھ سے پناہ طلب کرتا ہے تو میں اسے پناہ دے دیتا ہوں ، میں نے جو کام کرنا ہوتا ہے اس کے کرنے میں مجھے کبھی اتنا تردد نہیں ہوتا جتنا کسی مومن کی جان قبض کرتے وقت تردد ہوتا ہے وہ موت کو ناگوار جانتا ہے اور میں اس کی ایذا کو ناگوار جانتا ہوں ، حالانکہ وہ (موت) تو اسے ضرور آنی ہے ۔‘‘    رواہ البخاری (۶۵۰۲) ۔
------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 2266

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...