Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 29 January 2020

Allah ne sun li jis ne is ki hamd bayan ki, hamara RABB tamam humdo sataish tere liye he hain


Only-Quran-Hadith-Quiz


Do sawal hain!

Sawal: Yh kaunsi dua ka tarjuma hai

"Allah ne sun li jis ne is ki hamd bayan ki, hamara RABB tamam humdo sataish tere liye he hain"

A: سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ

B: سُبْحَانَكَ اللهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَتَبَارَكَ اسْمُكَ وَتَعَالٰی جَدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرَكَ

C: سُبْحَانَ المَلِكِ القُدُّوسِ

D: رَبِّ الْمَلاَئِكَةِ وَالرُّوحِ

E: اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ

F: اَ للَّهُـمَّ إِ نِّي أَعُـوْذُبِكَ أَنْ أُشْـرِكَ بِكَ شَيْئاً أَعْـلَمُ ، وَأَسْتَـغْفِرُ كَ لِمَا لَا أَعْـلَمُ

G: اَللَّهُـمَّ أَنْتَ السَّـلاَمُ ، وَمِنْـكَ السَّـلاَمُ ، تَبَـا رَكْتَ يَاذَ الْجَـلاَ لِ وَا لْإِكْـرَامِ

H: In mein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam uss dua ko kab padha karte thy?

A: Farz Namaz ke baad
B: Salam pherne ke baad
C: Sajde mein
D: Ruku mein
E: Ruku se utte waqt
F: jab koi kush khabri sunte
G: Witr ki namaz ke baad
H: In mein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar?



Sahi Jawab - AE

Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam jab namaz shuru karte, ruku ke liye Allah Akbar kehte, aur jab ruku se sir uthatay to rafayadain kiya karte thy, aur Aap Sallallahu alaihi wasallam ruku se uthte waqt farmatay “Allah ne sun li jis ne is ki hamd bayan ki, hamara RABB tamam humdo sataish tere liye he hain aur Aap Sallallahu alaihi wasallam sajdon ke mabain yeh rafayadain nahi kiya karte thy.
-----------
وَعَنِ ابْنِ عُمَرَ: أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَرْفَعُ يَدَيْهِ حَذْوَ مَنْكِبَيْهِ إِذَا افْتَتَحَ الصَّلَاةَ وَإِذَا كَبَّرَ لِلرُّكُوعِ وَإِذَا رَفَعَ رَأْسَهُ مِنَ الرُّكُوعِ رَفَعَهُمَا كَذَلِكَ وَقَالَ: سَمِعَ اللَّهُ لِمَنْ حَمِدَهُ رَبَّنَا لَكَ الْحَمْدُ وَكَانَ لَا يَفْعَلُ ذَلِكَ فِي السُّجُودِ
--------------
ابن عمر ؓ سے روایت ہے کہ رسول اللہ جب نماز شروع کرتے ، رکوع کے لیے اللہ اکبر کہتے ، اور جب رکوع سے سر اٹھاتے تو رفع الیدین کیا کرتے تھے ، اور آپ (رکوع سے اٹھتے وقت) فرماتے :’’ اللہ نے سن لی جس نے اس کی حمد بیان کی ، ہمارے رب تمام حمدو ستائش تیرے ہی لیے ہے ۔‘‘ اور آپ سجدوں کے مابین یہ (رفع الیدین) نہیں کیا کرتے تھے ۔    متفق علیہ ۔ 
--------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 793

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...