❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jin ke liye jo misal di gaye hai uss hesab se sahi milan
kijiye!
A: Goya jaise duniya aur tamam saman iska tha per wo usse
cheen li gayi
B: Uss Khazane ki si hai jis ko Allah Subhanahu ke raste
mein karch nahi kiya jata
1: Nashe ki wajah se ek namaz chodne wala
2: Kaffir
3: Jo log apna maal Allah ki rah mein kharch nahi karte hai
4: Maidan e jung se baagne wala
5: Munafiq
6: Ehsaan jatane wale
7: Jis Ilm se Faida hasil nahi kiya jaata
8: In mein se koi nahi
9. Sahi jawab ka intezar hai?
Sahi Jawab✅
A-1
B-7
Reference📚:
-------------------
Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne nashay ki wajah
se jisne ek namaz chorh di to woh aisa hai goya ke duniya aur is ka tamam
samaan is ka tha aur yh is se cheen si gaya hain, aur jis shakhs ne nashay ki
wajah se chaar martaba namaz chorh di toh Allah Subhananu Taa’ala par lazim hai
ke usay Teenat-Al Khabal pilaaye poocha gaya yeh Rasool-Allah Sallalahu Alaihi
wasallam Teenat-Al Khabal kya cheez hai? Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne
farmaya Ahal Jahannum ka peep.
----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732
----------------
Sayedna Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se hi riwayat hai,
Nabi Kareem (ﷺ)
ne farmaya Beshak jis ilm se faida hasil nahi kiya jata, is ki misal is khazane
ki si hai jis ko Allah Ta'ala ke raste me kharch nahi kiya jata
-----------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 274
No comments:
Post a Comment