Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 29 January 2020

Mahfuhm e Hadith ke mutabiq Faristey bande ke liye kab tak yh dua karte rehte hai Allahuma Agfirli, Allahuma Ar-Rahamni.



Only-Quran-Hadith-Quiz


Sawal: Mahfuhm e Hadith ke mutabiq Faristey bande ke liye kab tak yh dua karte rehte hai Allahuma Agfirli, Allahuma Ar-Rahamni.

A: Namaz padhke masjid mein wahi baithne wale ke liye
B: Azan dene wale ke liye
C: Quran ki talim dene wale ke liye
D: Masjid tak chal kar jane wale ke liye
E: Jamat ke liye paidal chal kar jana
F: Juma ke din Surah Kahaf padhne wala
G: Takleef mein bhi achchi tarah wuzu karna
H: In mein se koi nahi

I: Sahi jawab ka intezaar?



Sahi Jawab - A

Reference📚:

Hazrath Abu Huraria RadiAllahu Anhu se unhone Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam se ki Aap Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Jammat ke saath Namaz padhne mein ghar ke andar ya bazar (Dukan wagira) mein namaz padne se pachees (25) gunah sawab zayda milta hai kuyke jab koi shaqs tum mein se wudu kare aur is ke aadaab ka lehaaz rakhay phir masjid mein sirf namaz ki gharz se aeye to is ke har qadam par Allah Subahnahu taala ek darjah is ka buland karta hai aur ek gunah is se maaf karta hai is terhan woh masjid ke andar aeyega. Masjid mein anay ke baad jab taq namaz ke intezaar mein rahayga usay namaz hi ki haalat mein shumaar kiya jayega aur jab taq is jagah betha rahay jahan is ne namaz parhi hai to farishtay is ke liye Rahmat khuda wandi ki duayen karte hain «اللهم اغفر له ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏اللهم ارحمه» Allahuma Agfirli, Allahuma Ar-Rahamni Eh Allah! is ko bakhash dy, Eh Allah ! is par Raham kar jab tak ke ruht kharij kar ke (woh firshton ko) takleef nah dy.
------------
Narrated Abu Huraira:
The Prophet () said, "The prayer offered in congregation is twenty five times more superior (in reward) to the prayer offered alone in one's house or in a business center, because if one performs ablution and does it perfectly, and then proceeds to the mosque with the sole intention of praying, then for each step which he takes towards the mosque, Allah upgrades him a degree in reward and (forgives) crosses out one sin till he enters the mosque. When he enters the mosque he is considered in prayer as long as he is waiting for the prayer and the angels keep on asking for Allah's forgiveness for him and they keep on saying: 'O Allah! Be Merciful to him, O Allah! Forgive him, as long as he keeps on sitting at his praying place and does not pass wind. (See Hadith No. 620).
-------------
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے ، انھوں نے رسول کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ، جماعت کے ساتھ نماز پڑھنے میں گھر کے اندر یا بازار ( دوکان وغیرہ ) میں نماز پڑھنے سے پچیس گنا ثواب زیادہ ملتا ہے ۔ کیونکہ جب کوئی شخص تم میں سے وضو کرے اور اس کے آداب کا لحاظ رکھے پھر مسجد میں صرف نماز کی غرض سے آئے تو اس کے ہر قدم پر اللہ تعالیٰ ایک درجہ اس کا بلند کرتا ہے اور ایک گناہ اس سے معاف کرتا ہے ۔ اس طرح وہ مسجد کے اندر آئے گا ۔ مسجد میں آنے کے بعد جب تک نماز کے انتظار میں رہے گا ۔ اسے نماز ہی کی حالت میں شمار کیا جائے گا اور جب تک اس جگہ بیٹھا رہے جہاں اس نے نماز پڑھی ہے تو فرشتے اس کے لیے رحمت خداوندی کی دعائیں کرتے ہیں «اللهم اغفر له ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏اللهم ارحمه» اے اللہ ! اس کو بخش دے ، اے اللہ ! اس پر رحم کر ۔ جب تک کہ ریح خارج کر کے ( وہ فرشتوں کو ) تکلیف نہ دے ۔
--------------------
Reference           : Sahih al-Bukhari 477
In-book reference           : Book 8, Hadith 125
USC-MSA web (English) reference           : Vol. 1, Book 8, Hadith 466

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...