Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 29 January 2020

Mahfuhm e hadith ke mutabiq Musalman per kaun kaun si baatoh ko manna lazim hain


Only-Quran-Hadith-Quiz


Jawab ek se zayda hain!

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq Musalman per kaun kaun si baatoh ko manna lazim hain?

A: Apne Ameer ki baat manna
B: haftay mein ek din (yani jummay ke din) apne jism aur sir ko dho lena
C: Mehman nawazi karna
D: Miswak karna
E: Mareez ki Ayadat karna
F: Janaze mein shareek hona
G: Cheenke wala jab Alhumdulilah kahe to usse jawab dena
H: Bukhl se bachna
I: Sunnatoh ki zinda karna

J: Sahi Jawab ka Intezaar




Sahi Jawab - ABCDEFG

Reference📚:
---------------
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Musalman aadmi par Ameer ki baat maanna aur sunna lazim hai chahay woh pasand kare ya napasand, jab tak ke usay kisi nafarmani ka hukum nah diya jaye, lekin jab usay nafarmani ka hukum diya jaye to nah sunna hai aur nah maanna hain.
---------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 2626
-----------------

Abu Karim Shami Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke ek raat Mehman nawazi ka har musalam par haq hai toh joh shaqs  mezbaan ke sehan mein subah bhi karle ( yani raat guzare ) to woh is maizban par karz hai woh maheman agar chahay to is ka mutalba kere aur agar chahay to chore de.
----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 390
-----------------
Ek Ansari sahabi se riwayat hai ke teen cheeze aisi hain jo har musalman par lazim hain, jummay ke din ghusal karna, Miswak karna aur agar muyassar ho to khushbu lagana.
-------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 607
---------------
pas har musalman ko haftay mein ek din (yani jummay ke din) to usay jism aur sir ko dho lena lazim hain.
--------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3487
------------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu, Nabi Sallalahu Alaihi wasallam se bayan karte hain ke Aap Sallalahu Alaihi wasallam neh farmaya teen cheeze har musalman par lazim hain Mareez ki ayadat karna, janazay mein haazir hona, Cheekne wala jab Alhumdullilah kahe to usay jawab mein' 'Ya RahmakAllah” kehna
-----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 608

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...